Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghaflat mein hui auqat basar ai umr-e-gurezan kuchh na kiya

Shad Azimabadi

ghaflat mein hui auqat basar ai umr-e-gurezan kuchh na kiya

Shad Azimabadi

MORE BYShad Azimabadi

    ġhaflat meñ huī auqāt basar ai umr-e-gurezāñ kuchh na kiyā

    sab chalne ke the sāmān baham chalne sāmāñ kuchh na kiyā

    vaa.iz ne bhare ḳham chuur kiye tar kar zamīñ ai pīr-e-muġhāñ

    zālim ne zarā bhī terā lihāz ai rahbar-e-īmāñ kuchh na kiyā

    a.amāl zishtī badlā maiñ kah nahīñ saktā kyā miltā

    bhejā bhī agar dozaḳh meñ tujhe ai sāhab-e-īmāñ kuchh na kiyā

    mai piine dil meñ josh na thā zāhir talab thī hosh meñ aa

    saaqī ne milāyā zahar agar ai munkir-e-ehsāñ kuchh na kiyā

    maanā ki baḌī saffāk hai bil-farz baḌī jallād hai

    maiñ jiitā rahā tā-sub.h agar to ai shab-e-hijrāñ kuchh na kiyā

    taklīf kisī ko gar pahūñchī is meñ takalluf kyā niklā

    hairān jo rakhā qātil ko to ai shab-e-hijrāñ kuchh na kiyā

    ulTā na irāq-o-shām-o-halab duniyā na huī vīrān to kyā

    jal-thal na lahū se to ne bharā to ḳhūn-e-musalmāñ kuchh na kiyā

    suntā huuñ adū ko ḳhaak kiyā miTTī meñ milāyā ghar us

    phūñkā na jalā kar mujh ko agar ai shab-e-hijrāñ kuchh na kiyā

    kyā ke karūñgā maiñ tanhā yaañ taab kahāñ baaqī dil ko

    be-maut ke ab maarā na mujhe to dāġh-e-azīzāñ kuchh na kiyā

    jumbish se tirī maqtal hotā ik aan meñ dasht-e-karb-o-balā

    ushshāq bebākī evaz ai abrū-e-barrāñ kuchh na kiyā

    ai nañg-e-jahāñ ai 'shād' batā kuchh sharm bhī tujh ko hai ki nahīñ

    ai jehl-e-murakkab ai haivāñ ai be-ḳhabar insāñ kuchh na kiyā

    ghaflat mein hui auqat basar ai umr-e-gurezan kuchh na kiya

    sab chalne ke the saman baham chalne hi ka saman kuchh na kiya

    waiz ne bhare KHam chur kiye tar kar di zamin ai pir-e-mughan

    zalim ne zara bhi tera lihaz ai rahbar-e-iman kuchh na kiya

    aamal ki zishti ka badla main kah nahin sakta kya milta

    bheja bhi agar dozaKH mein tujhe ai sahab-e-iman kuchh na kiya

    mai pine ka dil mein josh na tha zahir ki talab thi hosh mein aa

    saqi ne milaya zahar agar ai munkir-e-ehsan kuchh na kiya

    mana ki baDi saffak hai tu bil-farz baDi jallad hai tu

    main jita raha ta-subh agar to ai shab-e-hijran kuchh na kiya

    taklif kisi ko gar pahunchi tu is mein takalluf kya nikla

    hairan jo rakha qatil ko to ai shab-e-hijran kuchh na kiya

    ulTa na iraq-o-sham-o-halab duniya na hui viran to kya

    jal-thal na lahu se to ne bhara to KHun-e-musalman kuchh na kiya

    sunta hun adu ko KHak kiya miTTi mein milaya ghar us ka

    phunka na jala kar mujh ko agar tu ai shab-e-hijran kuchh na kiya

    kya ji ke karunga main tanha yan tab kahan baqi dil ko

    be-maut ke ab mara na mujhe to dagh-e-azizan kuchh na kiya

    jumbish se teri maqtal hota ek aan mein dasht-e-karb-o-bala

    ushshaq ki bebaki ka ewaz ai abru-e-barran kuchh na kiya

    ai nang-e-jahan ai 'shad' bata kuchh sharm bhi tujh ko hai ki nahin

    ai jehl-e-murakkab ai haiwan ai be-KHabar insan kuchh na kiya

    Source:

    Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 62)

    • Author: Shad Azimabadi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now