Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gah mashq-e-sitam gah-e-karam yaad karenge

Aulad Ali Rizvi

gah mashq-e-sitam gah-e-karam yaad karenge

Aulad Ali Rizvi

MORE BYAulad Ali Rizvi

    gah mashq-e-sitam gāh-e-karam yaad kareñge

    jab tak bhī jiyeñge tumheñ ham yaad kareñge

    jab zikr chhiḌegā kahīñ arbāb-e-vafā

    apne dil-e-marhūm ko ham yaad kareñge

    dil apnā hai dil par to nahīñ zor kisī

    ka.abe meñ bhī ham tujh ko sanam yaad kareñge

    jo sajda-gah-e-ishq rif.at se haiñ vāqif

    vo log mirā naqsh-e-qadam yaad kareñge

    tauqīr baḌhā.ī hai mire sajdoñ ne un

    ik umr mujhe dair-o-haram yaad kareñge

    jab baat chhiḌegī kahīñ arbāb-e-nazar

    'sāqī' ko bahut ahl-e-qalam yaad kareñge

    gah mashq-e-sitam gah-e-karam yaad karenge

    jab tak bhi jiyenge tumhein hum yaad karenge

    jab zikr chhiDega kahin arbab-e-wafa ka

    apne dil-e-marhum ko hum yaad karenge

    dil apna hai dil par to nahin zor kisi ka

    kabe mein bhi hum tujh ko sanam yaad karenge

    jo sajda-gah-e-ishq ki rifat se hain waqif

    wo log mera naqsh-e-qadam yaad karenge

    tauqir baDhai hai mere sajdon ne un ki

    ek umr mujhe dair-o-haram yaad karenge

    jab baat chhiDegi kahin arbab-e-nazar ki

    'saqi' ko bahut ahl-e-qalam yaad karenge

    Source:

    SAAZ-O-NAVA (Pg. 17)

      • Publisher: Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now