gahraiyon mein zehn ki girdab sa raha

Muzaffar Warsi

gahraiyon mein zehn ki girdab sa raha

Muzaffar Warsi

MORE BYMuzaffar Warsi

  gahrā.iyoñ meñ zehn girdāb rahā

  sāhil pe bhī khaḌā huā ġharqāb rahā

  be-nām ik aag jalātī rahī mujhe

  ḳhuuñ ke bajā.e jism meñ tezāb rahā

  ḳhālī vajūd liye phirtā rahā magar

  kāñdhoñ pe umr bhar mire asbāb rahā

  naġhme bikhertā rahā ehsās-e-talḳh bhī

  ḳhāma bhī mere haath meñ mizrāb rahā

  ashkoñ meñ us ke husn lau tairtī rahī

  paanī ke āsmān pe mahtāb rahā

  kaam aa.ī shā.irī bhī 'muzaffar' ke kis qadar

  tanhā.ī meñ bhī majma-e-ahbāb rahā

  gahraiyon mein zehn ki girdab sa raha

  sahil pe bhi khaDa hua gharqab sa raha

  be-nam si ek aag jalati rahi mujhe

  KHun ke bajae jism mein tezab sa raha

  KHali wajud hi liye phirta raha magar

  kandhon pe umr bhar mere asbab sa raha

  naghme bikherta raha ehsas-e-talKH bhi

  KHama bhi mere hath mein mizrab sa raha

  ashkon mein us ke husn ki lau tairti rahi

  pani ke aasman pe mahtab sa raha

  kaam aai shairi bhi 'muzaffar' ke kis qadar

  tanhai mein bhi majma-e-ahbab sa raha

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY