ghair ho nashad kyon kaisi kahi
ġhair ho nāshād kyoñ kaisī kahī
chāhtā huuñ daad kyoñ kaisī kahī
pahle gaalī dī savāl-e-vasl par
phir huā irshād kyoñ kaisī kahī
tum ne dil kī baat kyoñ kaisī sunī
ham ne ye rūdād kyoñ kaisī kahī
māñgte the mere milne kī duā
vo bhī din haiñ yaad kyoñ kaisī kahī
tū bhī ai nāseh kisī par jaan de
haath lā ustād kyoñ kaisī kahī
'dāġh' tujh ko bāġh-e-jannat ho nasīb
ḳhānumāñ-barbād kyoñ kaisī kahī
ghair ho nashad kyon kaisi kahi
chahta hun dad kyon kaisi kahi
pahle gali di sawal-e-wasl par
phir hua irshad kyon kaisi kahi
tum ne dil ki baat kyon kaisi suni
hum ne ye rudad kyon kaisi kahi
mangte the mere milne ki dua
wo bhi din hain yaad kyon kaisi kahi
tu bhi ai naseh kisi par jaan de
hath la ustad kyon kaisi kahi
'dagh' tujh ko bagh-e-jannat ho nasib
KHanuman-barbaad kyon kaisi kahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.