aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghair ki bad-gumaniyon pe na ja

Akhtar Ziai

ghair ki bad-gumaniyon pe na ja

Akhtar Ziai

MORE BYAkhtar Ziai

    ġhair bad-gumāniyoñ pe na

    be-haqīqat kahāniyoñ pe na

    khīñch letā hai dāman-e-ehsās

    phuul be-zabāniyoñ pe na

    us ġhārat-garī ko dhyān meñ rakh

    aql pāsbāniyoñ pe na

    sabr dostī ko rakh malhūz

    jabr hukmarāniyoñ pe na

    ḳhubs-e-bātin ke zahr se bhī bach

    mahz shīrīñ-bayāniyoñ pe na

    mustaqil zulm mudāvā kar

    aarzī mehrbāniyoñ pe na

    ruuh bhī pukār sun 'aḳhtar'

    jism kāmrāniyoñ pe na

    ghair ki bad-gumaniyon pe na ja

    be-haqiqat kahaniyon pe na ja

    khinch leta hai daman-e-ehsas

    phul ki be-zabaniyon pe na ja

    us ki ghaarat-gari ko dhyan mein rakh

    aql ki pasbaniyon pe na ja

    sabr ki dosti ko rakh malhuz

    jabr ki hukmaraniyon pe na ja

    KHubs-e-baatin ke zahr se bhi bach

    mahz shirin-bayaniyon pe na ja

    mustaqil zulm ka mudawa kar

    aarzi mehrbaniyon pe na ja

    ruh ki bhi pukar sun 'aKHtar'

    jism ki kaamraniyon pe na ja

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now