Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghair par lutf kare hum pe sitam ya qismat

Asifud Daula

ghair par lutf kare hum pe sitam ya qismat

Asifud Daula

MORE BYAsifud Daula

    ġhair par lutf kare ham pe sitam qismat

    thā nasīboñ meñ hamāre ye sanam qismat

    yaar yaar nahīñ baḳht haiñ so ulTe haiñ

    kab talak ham ye saheñ dard-o-alam qismat

    kūcha-gardī se use shauq hai lekin gaahe

    is taraf ko nahīñ rakhtā vo qadam qismat

    kūcha-e-yār meñ thoḌī jagah de ai baḳht

    māñgtā tujh se nahīñ mulk-e-ajam qismat

    jān-o-dil meñ se nahīñ ek bhī ab nek-nasīb

    donoñ kam-baḳht hue aa ke baham qismat

    'āsif' ab aur lage karne taraqqī din raat

    shāmat-e-baḳht huī merī to kam qismat

    ghair par lutf kare hum pe sitam ya qismat

    tha nasibon mein hamare ye sanam ya qismat

    yar tu yar nahin baKHt hain so ulTe hain

    kab talak hum ye sahen dard-o-alam ya qismat

    kucha-gardi se use shauq hai lekin gahe

    is taraf ko nahin rakhta wo qadam ya qismat

    kucha-e-yar mein thoDi si jagah de ai baKHt

    mangta tujh se nahin mulk-e-ajam ya qismat

    jaan-o-dil mein se nahin ek bhi ab nek-nasib

    donon kam-baKHt hue aa ke baham ya qismat

    'asif' ab aur lage karne taraqqi din raat

    shamat-e-baKHt hui meri to kam ya qismat

    Source:

    Lucknow Ke Chand Namwar Shora-volume-001 (Pg. ebook-64 page-65)

    • Author: Syed Sulaiman Husain
      • Edition: 1973
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now