ghalat nahin hai kisi ko ye mashwara dena
ġhalat nahīñ hai kisī ko ye mashvara denā
ki habs baḌhne lage to diyā jalā denā
havā-e-vasl bhaTaktī huī sar-e-rāhe
kahīñ mile to hamārā pata batā denā
khaḌe hue haiñ pas-e-kārvān-e-tanhā.ī
kisī se kaise kaheñ ham ki rāsta denā
ye kār-e-'ishq sarāsar ziyāñ kā saudā hai
ziyāñ na ho to ye dukkān-e-dil baḌhā denā
mizāj-e-dil-zadagāñ bhī 'ajīb hai 'ġhā.er'
jahāñ bhī baiThnā ik mas.ala uThā denā
ghalat nahin hai kisi ko ye mashwara dena
ki habs baDhne lage to diya jala dena
hawa-e-wasl bhaTakti hui sar-e-rahe
kahin mile to hamara pata bata dena
khaDe hue hain pas-e-karwan-e-tanhai
kisi se kaise kahen hum ki rasta dena
ye kar-e-'ishq sarasar ziyan ka sauda hai
ziyan na ho to ye dukkan-e-dil baDha dena
mizaj-e-dil-zadagan bhi 'ajib hai 'ghaer'
jahan bhi baiThna ek masala uTha dena
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 44)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.