Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gali kuchon mein jab sab jal-bujha aahista aahista

Syed Muneer

gali kuchon mein jab sab jal-bujha aahista aahista

Syed Muneer

MORE BYSyed Muneer

    galī kūchoñ meñ jab sab jal-bujhā āhista āhista

    gharoñ se kuchh dhuāñ uThtā rahā āhista āhista

    ka.ī bechainiyoñ shiddat-e-iz.hār ḳhātir

    mujhe har lafz par ruknā paḌā āhista āhista

    adam hastī fanā aur phir baqā ik dā.era hai

    samajh meñ aa jā.egā ḳhudā āhista āhista

    masīhā.ī sub.hoñ sabr rātoñ ke āñgan meñ

    lahū bahtā rahā bahtā rahā āhista āhista

    fasīl-e-shahr bante chale aa.e alam us ke

    mirī pahchān parcham khulā āhista āhista

    itā.at meñ bhī tahrīm-e-anā fikr lāzim hai

    sar-e-taslīm bhī apnā jhukā āhista āhista

    'munīr' ahl-e-tahammul junūñ se vāsta kyā hai

    mohabbat jur.a jur.a aur vafā āhista āhista

    gali kuchon mein jab sab jal-bujha aahista aahista

    gharon se kuchh dhuan uThta raha aahista aahista

    kai bechainiyon ki shiddat-e-izhaar ki KHatir

    mujhe har lafz par rukna paDa aahista aahista

    adam hasti fana aur phir baqa ek daera sa hai

    samajh mein aa hi jaega KHuda aahista aahista

    masihai ki subhon sabr ki raaton ke aangan mein

    lahu bahta raha bahta raha aahista aahista

    fasil-e-shahr bante hi chale aae alam us ke

    meri pahchan ka parcham khula aahista aahista

    itaat mein bhi tahrim-e-ana ki fikr lazim hai

    sar-e-taslim bhi apna jhuka aahista aahista

    'munir' ahl-e-tahammul ka junun se wasta kya hai

    mohabbat jura jura aur wafa aahista aahista

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 663)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now