Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gali mein baKHt ke un ka bhi kuchh qissa nikal aaya

Naseem Dehlvi

gali mein baKHt ke un ka bhi kuchh qissa nikal aaya

Naseem Dehlvi

MORE BYNaseem Dehlvi

    galī meñ baḳht ke un bhī kuchh qissa nikal aayā

    huī thī sulh kis mushkil se phir jhagḌā nikal aayā

    maiñ apne shor ke sadqe ki dekhā aaj to us ko

    bharā ġhusse meñ ghar se shoḳh be-parvā nikal aayā

    nadāmat jo huī deñ gāliyāñ afsāna-goyoñ ko

    vo sunte the kahānī zikr kuchh merā nikal aayā

    kisī ghar nahīñ ye to galī hai soch o zālim

    ghar uktā kis liye hai bhuul kar is nikal aayā

    mirī taqdīr badlī zo.af se āvāz kyā badlī

    vo apne dil meñ dushman sadā samjhā nikal aayā

    jo sach pūchho to sadqe meñ tumhāre aks aariz ke

    kañval phūle diloñ ke rañg ġhunchoñ nikal aayā

    'nasīm' un ko jo apnā jazb-e-ḳhātir is taraf laayā

    gale mil mil ke ro.e hausla dil nikal aayā

    gali mein baKHt ke un ka bhi kuchh qissa nikal aaya

    hui thi sulh kis mushkil se phir jhagDa nikal aaya

    main apne shor ke sadqe ki dekha aaj to us ko

    bhara ghusse mein ghar se shoKH be-parwa nikal aaya

    nadamat jo hui den galiyan afsana-goyon ko

    wo sunte the kahani zikr kuchh mera nikal aaya

    kisi ka ghar nahin ye to gali hai soch o zalim

    ghar ukta kis liye hai bhul kar is ja nikal aaya

    meri taqdir badli zoaf se aawaz kya badli

    wo apne dil mein dushman ki sada samjha nikal aaya

    jo sach puchho to sadqe mein tumhaare aks aariz ke

    kanwal phule dilon ke rang ghunchon ka nikal aaya

    'nasim' un ko jo apna jazb-e-KHatir is taraf laya

    gale mil mil ke roe hausla dil ka nikal aaya

    Source:

    Kulliyat-e-Naseem (Pg. 182)

    • Author: Naseem Dehlvi
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now