Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

galiyon mein meri ganw ka Dar bol raha hai

M. I. Sajid

galiyon mein meri ganw ka Dar bol raha hai

M. I. Sajid

MORE BYM. I. Sajid

    galiyoñ meñ mirī gaañv Dar bol rahā hai

    lagtā hai siyāsat asar bol rahā hai

    chhāle haiñ mire paañv meñ pur-ḳhār hai rasta

    āsāñ nahīñ manzil ye safar bol rahā hai

    tanhā.iyāñ rakhtī na kahīñ hameñ logo

    bachchoñ ke chahakne se ye ghar bol rahā hai

    sāzish ke sabab aag lagā.ī ga.ī har

    bastī meñ ujāloñ safar bol rahā hai

    aise bhī kiyā jaatā hai sachchā.ī ko zāhir

    neze pe laTaktā huā sar bol rahā hai

    kal tak jo riyā-kāroñ ke changul meñ phañsā thā

    ab merī himāyat meñ nagar bol rahā hai

    ho tāj-mahal ki ajantā guphā.eñ

    fankār ke hāthoñ hunar bol rahā hai

    dushman hai vo rāvan tarah vaar karegā

    har samt fasādāt Dar bol rahā hai

    ik tum nahīñ bolne vaale yahāñ 'sājid'

    kahne do use vo bhī agar bol rahā hai

    galiyon mein meri ganw ka Dar bol raha hai

    lagta hai siyasat ka asar bol raha hai

    chhaale hain mere panw mein pur-KHar hai rasta

    aasan nahin manzil ye safar bol raha hai

    tanhaiyan rakhti na kahin ka hamein logo

    bachchon ke chahakne se ye ghar bol raha hai

    sazish ke sabab aag lagai gai har su

    basti mein ujalon ka safar bol raha hai

    aise bhi kiya jata hai sachchai ko zahir

    neze pe laTakta hua sar bol raha hai

    kal tak jo riya-karon ke changul mein phansa tha

    ab meri himayat mein nagar bol raha hai

    ho taj-mahal ya ki ajanta ki guphaen

    fankar ke hathon ka hunar bol raha hai

    dushman hai wo rawan ki tarah war karega

    har samt fasadat ka Dar bol raha hai

    ek tum hi nahin bolne wale yahan 'sajid'

    kahne do use wo bhi agar bol raha hai

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 212)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now