Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham-e-dil ki zaban ahl-e-tashaddud kam samajhte hain

Talib Chakwali

gham-e-dil ki zaban ahl-e-tashaddud kam samajhte hain

Talib Chakwali

MORE BYTalib Chakwali

    Interesting Fact

    3 April 1966

    ġham-e-dil zabāñ ahl-e-tashaddud kam samajhte haiñ

    na dil ko dil samajhte haiñ na ġham ko ġham samajhte haiñ

    vo kahte haiñ ki hañsnā hai dil-e-insāñ kamzorī

    navā-e-zindagī ko ziist mātam samajhte haiñ

    junūn-e-kusht-o-ḳhūn ko naam dete haiñ shujā.at

    amāvas shab-e-tārīk ko pūnam samajhte haiñ

    ravādārī ko ham samjhe hue haiñ dard darmāñ

    mohabbat ko dil-e-majrūh marham samajhte haiñ

    'mahāvīr' aur 'gautam' aur 'gāñdhī' jis ke rahrav the

    ta.ajjub hai ki ham us raah ko pur-ḳham samajhte haiñ

    banāyā hai ahinsā ko usūl-e-zindagī ham ne

    sukūn-e-zindagī raaz 'tālib' ham samajhte haiñ

    gham-e-dil ki zaban ahl-e-tashaddud kam samajhte hain

    na dil ko dil samajhte hain na gham ko gham samajhte hain

    wo kahte hain ki hansna hai dil-e-insan ki kamzori

    nawa-e-zindagi ko zist ka matam samajhte hain

    junun-e-kusht-o-KHun ko nam dete hain shujaat ka

    amawas ki shab-e-tarik ko punam samajhte hain

    rawadari ko hum samjhe hue hain dard ka darman

    mohabbat ko dil-e-majruh ka marham samajhte hain

    'mahawir' aur 'gautam' aur 'gandhi' jis ke rahraw the

    tajjub hai ki hum us rah ko pur-KHam samajhte hain

    banaya hai ahinsa ko usul-e-zindagi hum ne

    sukun-e-zindagi ka raaz 'talib' hum samajhte hain

    Source:

    Barg-e-Zard (Pg. 133)

    • Author: Talib Chakwali
      • Edition: 1980
      • Publisher: Manohar Parkashan, New Delhi
      • Year of Publication: 1980
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now