Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham-e-furqat hi mein marna ho to dushwar nahin

Altaf Hussain Hali

gham-e-furqat hi mein marna ho to dushwar nahin

Altaf Hussain Hali

MORE BYAltaf Hussain Hali

    ġham-e-furqat meñ marnā ho to dushvār nahīñ

    shādi-e-vasl bhī āshiq ko sazā-vār nahīñ

    ḳhūb-rūī ke liye zishtī-e-ḳhū bhī hai zarūr

    sach to ye hai ki koī tujh tarah-dār nahīñ

    qaul dene meñ ta.ammul na qasam se inkār

    ham ko sachchā nazar aatā koī iqrār nahīñ

    kal ḳharābāt meñ ik goshe se aatī thī sadā

    dil meñ sab kuchh hai magar ruḳhsat-e-guftār nahīñ

    haq huā kis se adā us vafādārī

    jis ke nazdīk jafā bā.is-e-āzār nahīñ

    dekhte haiñ ki pahuñchtī hai vahāñ kaun raah

    ka.aba o dair se kuchh ham ko sarokār nahīñ

    hoñge qaa.il vo abhī matla-e-sānī sun kar

    jo tajallī meñ ye kahte haiñ ki takrār nahīñ

    gham-e-furqat hi mein marna ho to dushwar nahin

    shadi-e-wasl bhi aashiq ko saza-war nahin

    KHub-rui ke liye zishti-e-KHu bhi hai zarur

    sach to ye hai ki koi tujh sa tarah-dar nahin

    qaul dene mein tammul na qasam se inkar

    hum ko sachcha nazar aata koi iqrar nahin

    kal KHarabaat mein ek goshe se aati thi sada

    dil mein sab kuchh hai magar ruKHsat-e-guftar nahin

    haq hua kis se ada us ki wafadari ka

    jis ke nazdik jafa bais-e-azar nahin

    dekhte hain ki pahunchti hai wahan kaun si rah

    kaba o dair se kuchh hum ko sarokar nahin

    honge qail wo abhi matla-e-sani sun kar

    jo tajalli mein ye kahte hain ki takrar nahin

    RECITATIONS

    Khalid Mubashshir

    Khalid Mubashshir,

    Khalid Mubashshir

    gham-e-furqat hi mein marna ho to dushwar nahin Khalid Mubashshir

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now