Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham-e-hayat se fursat hamein kabhi na mili

Kamal Lakhnavi

gham-e-hayat se fursat hamein kabhi na mili

Kamal Lakhnavi

MORE BYKamal Lakhnavi

    ġham-e-hayāt se fursat hameñ kabhī na milī

    ḳhushī ke naam ko sunte rahe ḳhushī na milī

    usī ke dil se koī us tishnagī pūchhe

    ki mai-kade meñ jise ek buuñd bhī na milī

    maiñ jis taraf bhī jahāñ meñ gayā ḳhushī ke liye

    mujhe to ġham ke alāva kahīñ ḳhushī na milī

    kabhī kabhī ye jalāne ke baad dekhā hai

    mire charāġh se ḳhud mujh ko raushnī na milī

    jo un ke sāmne be-iḳhtiyār aa.ī thī

    phir aaj tak mire hoñToñ ko vo hañsī na milī

    lagā liyā ġham-e-daurāñ ne phir kaleje se

    ġham-e-hayāt ke māroñ ko jab ḳhushī na milī

    mirā mizāj zamāne ne laakh apnāyā

    mire mizāj aisī to sādgī na milī

    vo aur haiñ ki jo lutf-e-hayāt uThāte haiñ

    'kamāl' maut bhī mujh ko hañsī ḳhushī na milī

    gham-e-hayat se fursat hamein kabhi na mili

    KHushi ke nam ko sunte rahe KHushi na mili

    usi ke dil se koi us ki tishnagi puchhe

    ki mai-kade mein jise ek bund bhi na mili

    main jis taraf bhi jahan mein gaya KHushi ke liye

    mujhe to gham ke alawa kahin KHushi na mili

    kabhi kabhi ye jalane ke baad dekha hai

    mere charagh se KHud mujh ko raushni na mili

    jo un ke samne be-iKHtiyar aai thi

    phir aaj tak mere honTon ko wo hansi na mili

    laga liya gham-e-dauran ne phir kaleje se

    gham-e-hayat ke maron ko jab KHushi na mili

    mera mizaj zamane ne lakh apnaya

    mere mizaj ki aisi to sadgi na mili

    wo aur hain ki jo lutf-e-hayat uThate hain

    'kamal' maut bhi mujh ko hansi KHushi na mili

    Source:

    Lahja-e-Ghazal (Pg. 139)

    • Author: Kamal Lakhnavi
      • Publisher: Kamal Lakhnavi
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now