gham-e-jaanan gham-e-dauran mein nihan hai ki nahin
gham-e-jaanan gham-e-dauran mein nihan hai ki nahin
Naqvii Mustafa Aabadi
MORE BYNaqvii Mustafa Aabadi
ġham-e-jānāñ ġham-e-daurāñ meñ nihāñ hai ki nahīñ
merā afsāna hadīs-e-digarāñ hai ki nahīñ
ek muddat se nahīñ kuchh ḳhabar-e-āvāra
dekho dīvāna sar-e-kū-e-butāñ hai ki nahīñ
yaaro insāf karo kuchh to ḳhudā lagtī kaho
bolo vo shoḳh mirā jān-e-jahāñ hai ki nahīñ
kal kī hai baat ki saa.e kī tarah saath the jo
aaj saaya bhī mirā un ko girāñ hai ki nahīñ
mere marne pe vo taḌpe to ta.ajjub kyoñ hai
sho.ala-e-sham.a sar-e-bazm tapāñ hai ki nahīñ
dil-e-be-ḳhud tirī bātoñ pe hañsī aatī hai
terā afsāna faqat vahm-o-gumāñ hai ki nahīñ
ġham-e-jānāñ kā mudāvā to mayassar na huā
kuchh ilāj-e-ġham-e-daurāñ bhī yahāñ hai ki nahīñ
aap hī aap ye dil chuur huā jaatā hai
kuchh ilaaj is kā bhī ai shīsha-garāñ hai ki nahīñ
aañkh milte hī shagufta huā rū-e-zebā
kahiye ye mo.ajiza-e-ḳhush-nazrāñ hai ki nahīñ
ham na kahte the ki ab bint-e-inab ki chhoḌo
ek hangāma sar-e-ritl-e-girāñ hai ki nahīñ
ham hathelī pe liye sar ko yahāñ aa.e haiñ
taak meñ us kī koī dushman-e-jāñ hai ki nahīñ
kyoñ huā jaatā hai parde se tū bāhar 'naqvī'
soch to ḳhalvatī-e-rāz-e-nihāñ hai ki nahīñ
gham-e-jaanan gham-e-dauran mein nihan hai ki nahin
mera afsana hadis-e-digaran hai ki nahin
ek muddat se nahin kuchh KHabar-e-awara
dekho diwana sar-e-ku-e-butan hai ki nahin
yaro insaf karo kuchh to KHuda lagti kaho
bolo wo shoKH mera jaan-e-jahan hai ki nahin
kal ki hai baat ki sae ki tarah sath the jo
aaj saya bhi mera un ko giran hai ki nahin
mere marne pe wo taDpe to tajjub kyon hai
shoala-e-shama sar-e-bazm tapan hai ki nahin
dil-e-be-KHud teri baaton pe hansi aati hai
tera afsana faqat wahm-o-guman hai ki nahin
gham-e-jaanan ka mudawa to mayassar na hua
kuchh ilaj-e-gham-e-dauran bhi yahan hai ki nahin
aap hi aap ye dil chur hua jata hai
kuchh ilaj is ka bhi ai shisha-garan hai ki nahin
aankh milte hi shagufta hua ru-e-zeba
kahiye ye moajiza-e-KHush-nazran hai ki nahin
hum na kahte the ki ab bint-e-inab ki chhoDo
ek hangama sar-e-ritl-e-giran hai ki nahin
hum hatheli pe liye sar ko yahan aae hain
tak mein us ki koi dushman-e-jaan hai ki nahin
kyon hua jata hai parde se tu bahar 'naqwi'
soch to KHalwati-e-raaz-e-nihan hai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.