Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham-e-jaanan ke siwa kuchh hamein pyara na hua

Faizi Nizam Puri

gham-e-jaanan ke siwa kuchh hamein pyara na hua

Faizi Nizam Puri

MORE BYFaizi Nizam Puri

    ġham-e-jānāñ ke sivā kuchh hameñ pyārā na huā

    ham kisī ke na hue koī hamārā na huā

    kyā usī hai vafā nām-e-mohabbat hai yahī

    mehrbāñ ham pe kabhī vo sitam-ārā na huā

    laakh tūfān-e-havādis ne qadam thaam liye

    merī ġhairat ko palaTnā bhī gavārā na huā

    dil vahī dil hai haqīqat nazar meñ ai dil

    sard jis dil meñ mohabbat sharārā na huā

    DhūñDhtā aa.egā kal ahl-e-mohabbat ko yahī

    ġham nahīñ aaj zamāna jo hamārā na huā

    ahl-e-duniyā ne masarrat masarrat chāhī

    ham ko is ġham ke sivā kuchh bhī gavārā na huā

    jaan hai dil-e-ḳhuddār ne kis mushkil se

    aaj bālīñ pe vo ḳhud-bīn-o-ḳhud-ārā na huā

    aañkh sū-e-haram-o-dair kabhī uTh jaatī

    ishq raah meñ ye bhī to gavārā na huā

    ḳhaak chhānī chaman-o-dasht barsoñ 'faizī'

    aah taskīn-e-nazar koī nazārā na huā

    gham-e-jaanan ke siwa kuchh hamein pyara na hua

    hum kisi ke na hue koi hamara na hua

    kya usi ka hai wafa nam-e-mohabbat hai yahi

    mehrban hum pe kabhi wo sitam-ara na hua

    lakh tufan-e-hawadis ne qadam tham liye

    meri ghairat ko palaTna bhi gawara na hua

    dil wahi dil hai haqiqat ki nazar mein ai dil

    sard jis dil mein mohabbat ka sharara na hua

    DhunDhta aaega kal ahl-e-mohabbat ko yahi

    gham nahin aaj zamana jo hamara na hua

    ahl-e-duniya ne masarrat hi masarrat chahi

    hum ko is gham ke siwa kuchh bhi gawara na hua

    jaan di hai dil-e-KHuddar ne kis mushkil se

    aaj baalin pe wo KHud-bin-o-KHud-ara na hua

    aankh su-e-haram-o-dair kabhi uTh jati

    ishq ki rah mein ye bhi to gawara na hua

    KHak chhani chaman-o-dasht ki barson 'faizi'

    aah taskin-e-nazar koi nazara na hua

    Source:

    Mizrab (Pg. 107)

    • Author: Faizi Nizam Puri
      • Edition: 1966
      • Publisher: Ameen Mahmood Mian Kange
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now