gham-e-jahan hua ya wo hijr-e-yar hua
ġham-e-jahān huā yā vo hijr-e-yār huā
na pūchh dāman-e-dil kaise tārtār huā
rahe haiñ maslak-e-vahdāniyat ke ham qaa.il
bas ek 'ishq huā aur divāna-vār huā
uḌā ke laa.ī hai kis zulf-o-pairahan kī mahak
nafas havā-e-mu’ambar se mushk-bār huā
qarār chain sukūñ dil kā ho gayā ruḳhsat
kisī ke 'ishq meñ lāhaq vo iztirār huā
qaaf
mirī talab thī qanā'at se māvarā yuuñ bhī
hazār shukr tirā lutf be-shumār huā
suḳhan meñ utrī hai tāsīr mo'jize kī tarah
ye terā ġham to mujhe ḳhuub sāzgār huā
kiyā jo tum ne nahīñ pyaar kārobār thā vo
kiyā jo ham ne 'ibādat meñ vo shumār huā
'ināyatoñ se tirī harf ho ga.e raushan
tirā karam hai suḳhan aisā shāhkār huā
kisī nazar se khilā phuul dil kā yuuñ 'nasrīñ'
ḳhizāñ kā daur mujhe mausam-e-bahār huā
gham-e-jahan hua ya wo hijr-e-yar hua
na puchh daman-e-dil kaise tartar hua
rahe hain maslak-e-wahdaniyat ke hum qail
bas ek 'ishq hua aur diwana-war hua
uDa ke lai hai kis zulf-o-pairahan ki mahak
nafas hawa-e-mu’ambar se mushk-bar hua
qarar chain sukun dil ka ho gaya ruKHsat
kisi ke 'ishq mein lahaq wo iztirar hua
qaf
meri talab thi qana'at se mawara yun bhi
hazar shukr tera lutf be-shumar hua
suKHan mein utri hai tasir mo'jize ki tarah
ye tera gham to mujhe KHub sazgar hua
kiya jo tum ne nahin pyar karobar tha wo
kiya jo hum ne 'ibaadat mein wo shumar hua
'inayaton se teri harf ho gae raushan
tera karam hai suKHan aisa shahkar hua
kisi nazar se khila phul dil ka yun 'nasrin'
KHizan ka daur mujhe mausam-e-bahaar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.