gham-e-jahan ke fasane talash karte hain
ġham-e-jahāñ ke fasāne talāsh karte haiñ
ye fitna-gar to bahāne talāsh karte haiñ
rabāb-e-amn-o-sukūñ ke hasīn tāroñ meñ
shikast-e-dil ke tarāne talāsh karte haiñ
ye intihā hai junūn-e-has-parastī kī
parā.e ghar meñ ḳhazāne talāsh karte haiñ
na.e nizām kī buniyād toḌne vaale
vafā-shi.ār purāne talāsh karte haiñ
sitam-navāz diloñ ko jo sāzgār na ho
'shakīl' ham vo zamāne talāsh karte haiñ
gham-e-jahan ke fasane talash karte hain
ye fitna-gar to bahane talash karte hain
rabab-e-amn-o-sukun ke hasin taron mein
shikast-e-dil ke tarane talash karte hain
ye intiha hai junun-e-has-parasti ki
parae ghar mein KHazane talash karte hain
nae nizam ki buniyaad toDne wale
wafa-shiar purane talash karte hain
sitam-nawaz dilon ko jo sazgar na ho
'shakil' hum wo zamane talash karte hain
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 686)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.