Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham-e-mohabbat hai kar-farma dua se pahle asar se pahle

Waqar Bijnori

gham-e-mohabbat hai kar-farma dua se pahle asar se pahle

Waqar Bijnori

MORE BYWaqar Bijnori

    ġham-e-mohabbat hai kār-farmā duā se pahle asar se pahle

    batā rahī hai ye dil dhaḌkan vo aa rahe haiñ ḳhabar se pahle

    ye kis ke gesū se maañg laa.ī nasīm nik.hat sahar se pahle

    fazā-e-gulshan udaas thī shamīm-e-ambar-asar se pahle

    bajā.e ḳhuuñ mai jhalak rahī hai hamārī rag rag se ab to saaqī

    bahut be-kaif zindagī thī ḳhumār-āgīñ nazar se pahle

    nazar nazar aks rū-e-jānāñ nafas nafas be-ḳhudī aalam

    hijāb yuuñ darmiyāñ se uTThā nazar milī yuuñ nazar se pahle

    ġhurūr vīrāniyoñ pe apnī abas bayābāñ ko is qadar hai

    rivāj paayā hai ye tarīqa haqīqatan mere ghar se pahle

    ye ahl-e-vahshat hausla hai ḳhizāñ pe qabza hai fasl-e-gul

    vo baḌh ke sīna-sipar hue haiñ gumān-e-barq-o-sharar se pahle

    nuqūsh-e-sajda pe aaj mere vo naqsh-e-pā sabt kar rahe haiñ

    mire muqaddar yāvarī ye naqsh uTThā kidhar se pahle

    kabhī tasavvur meñ aa.e bhī to ghanerī zulfoñ ko ruḳh pe Daale

    hamārī qismat meñ shām-e-ġham thī numūd-e-nūr-e-sahar se pahle

    jahāñ rañgīniyoñ se ab tak 'vaqār' bilkul be-ḳhabar the

    asīr-e-jalva nazar thī apnī shu.ūr-e-zauq-e-nazar se pahle

    gham-e-mohabbat hai kar-farma dua se pahle asar se pahle

    bata rahi hai ye dil ki dhaDkan wo aa rahe hain KHabar se pahle

    ye kis ke gesu se mang lai nasim nikhat sahar se pahle

    faza-e-gulshan udas si thi shamim-e-ambar-asar se pahle

    bajae KHun mai jhalak rahi hai hamari rag rag se ab to saqi

    bahut hi be-kaif zindagi thi KHumar-agin nazar se pahle

    nazar nazar aks ru-e-jaanan nafas nafas be-KHudi ka aalam

    hijab yun darmiyan se uTTha nazar mili yun nazar se pahle

    ghurur viraniyon pe apni abas bayaban ko is qadar hai

    riwaj paya hai ye tariqa haqiqatan mere ghar se pahle

    ye ahl-e-wahshat ka hausla hai KHizan pe qabza hai fasl-e-gul ka

    wo baDh ke sina-sipar hue hain guman-e-barq-o-sharar se pahle

    nuqush-e-sajda pe aaj mere wo naqsh-e-pa sabt kar rahe hain

    mere muqaddar ki yawari ka ye naqsh uTTha kidhar se pahle

    kabhi tasawwur mein aae bhi to ghaneri zulfon ko ruKH pe Dale

    hamari qismat mein sham-e-gham thi numud-e-nur-e-sahar se pahle

    jahan ki ranginiyon se ab tak 'waqar' bilkul hi be-KHabar the

    asir-e-jalwa nazar thi apni shuur-e-zauq-e-nazar se pahle

    Source:

    Haft Rang(Bijnor Ke Muqami Shora ka Intikhab-e-kalam) (Pg. 25)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Bazm-e-Adab, Rajasthan
      • Year of Publication: 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now