Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham-e-ulfat hai sabab KHalq mein ruswai ka

Syed Masood Hasan Masood

gham-e-ulfat hai sabab KHalq mein ruswai ka

Syed Masood Hasan Masood

MORE BYSyed Masood Hasan Masood

    ġham-e-ulfat hai sabab ḳhalq meñ rusvā.ī

    naam badnām huā kyoñ shab-e-tanhā.ī

    TukḌe TukḌe hai jigar aap ke saudā.ī

    sāmnā aaj bhī hai hashr meñ rusvā.ī

    maut aatī hai na imkāñ hai shakebā.ī

    aag lag jaa.e burā ho shab-e-tanhā.ī

    dil ke TukḌe na karo husn zīnat hai yahī

    aa.ina TuuTā to kyā lutf ḳhud-ārā.ī

    paḌ ga.ī ahl-e-qayāmat garebāñ pe nazar

    chhiḌ gayā hashr meñ qissa mirī rusvā.ī

    phir kashish ne dar-e-mahbūb khīñchā dil ko

    phir huā zauq hameñ nāsiya-farsā.ī

    ghaTtī jaatī hai charāġh-e-dil-e-sozāñ ziyā

    baḌhtā jaatā hai añdherā shab-e-tanhā.ī

    kyoñ na insān ho mushtāq-e-tilism-e-duniyā

    dil bahaltā hai tamāshe se tamāshā.ī

    chhā ga.ī zulmat-e-ġham dil pe ḳhudā ḳhair kare

    aa gayā chāñd gahan meñ shab-e-tanhā.ī

    hālat-e-naza.a hai dam toḌ rahā hai bīmār

    nā-tavānī meñ ye 'ālam hai tavānā.ī

    kar chuke aap hamārā dil-e-murda zinda

    saath 'iisā ke gayā daur masīhā.ī

    aañkh meñ maut phir jaatī hai sūrat ab tak

    ba-ḳhudā naam burā hai shab-e-tanhā.ī

    ḳhair itnā to huā mashq-e-jafā se hāsil

    aa gayā tum ko salīqa sitam-ārā.ī

    aaj hai kal se ġhanīmat ye sunā jaatā hai

    dūr-az-hāl mizāj aap ke saudā.ī

    le gayā husn-e-ḳhudā-dād butoñ 'mas.ūd'

    maqdarat sabr imkān shakebā.ī

    gham-e-ulfat hai sabab KHalq mein ruswai ka

    nam badnam hua kyon shab-e-tanhai ka

    TukDe TukDe hai jigar aap ke saudai ka

    samna aaj bhi hai hashr mein ruswai ka

    maut aati hai na imkan hai shakebai ka

    aag lag jae bura ho shab-e-tanhai ka

    dil ke TukDe na karo husn ki zinat hai yahi

    aaina TuTa to kya lutf KHud-arai ka

    paD gai ahl-e-qayamat ki gareban pe nazar

    chhiD gaya hashr mein qissa meri ruswai ka

    phir kashish ne dar-e-mahbub ki khincha dil ko

    phir hua zauq hamein nasiya-farsai ka

    ghaTti jati hai charagh-e-dil-e-sozan ki ziya

    baDhta jata hai andhera shab-e-tanhai ka

    kyon na insan ho mushtaq-e-tilism-e-duniya

    dil bahalta hai tamashe se tamashai ka

    chha gai zulmat-e-gham dil pe KHuda KHair kare

    aa gaya chand gahan mein shab-e-tanhai ka

    haalat-e-naza hai dam toD raha hai bimar

    na-tawani mein ye 'alam hai tawanai ka

    kar chuke aap hamara dil-e-murda zinda

    sath 'isa ke gaya daur masihai ka

    aankh mein maut ki phir jati hai surat ab tak

    ba-KHuda nam bura hai shab-e-tanhai ka

    KHair itna to hua mashq-e-jafa se hasil

    aa gaya tum ko saliqa sitam-arai ka

    aaj hai kal se ghanimat ye suna jata hai

    dur-az-haal mizaj aap ke saudai ka

    le gaya husn-e-KHuda-dad buton ka 'masud'

    maqdarat sabr ki imkan shakebai ka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now