gham-e-ulfat ne lutf-e-zindagi ki aabru rakh li
ġham-e-ulfat ne lutf-e-zindagī kī aabrū rakh lī
ye vo dushman hai jis ne dostī kī aabrū rakh lī
siyah zulfoñ ne lahrā kar nikhārā husn chehre kā
añdheroñ ne bikhar kar raushnī kī aabrū rakh lī
hañsī aa to rahī hai dil ke zaḳhmoñ ko ye kyā kam hai
tire baḳhshe hue ġham ne ḳhushī kī aabrū rakh lī
nigāh-e-nāz ke andāz to dekho ki chupke se
kisī kī aabrū le lī kisī kī aabrū rakh lī
ye merā zarf hai jo maiñ ne kaḌve ghūñT pī kar bhī
sar-e-mahfil tirī sāqī-garī kī aabrū rakh lī
na aatī rañg par ye bazm-e-hastī vo to ye kaise
ki sāz-e-dil ne naġhma-parvarī kī aabrū rakh lī
gham-e-ulfat ne lutf-e-zindagi ki aabru rakh li
ye wo dushman hai jis ne dosti ki aabru rakh li
siyah zulfon ne lahra kar nikhaara husn chehre ka
andheron ne bikhar kar raushni ki aabru rakh li
hansi aa to rahi hai dil ke zaKHmon ko ye kya kam hai
tere baKHshe hue gham ne KHushi ki aabru rakh li
nigah-e-naz ke andaz to dekho ki chupke se
kisi ki aabru le li kisi ki aabru rakh li
ye mera zarf hai jo main ne kaDwe ghunT pi kar bhi
sar-e-mahfil teri saqi-gari ki aabru rakh li
na aati rang par ye bazm-e-hasti wo to ye kaise
ki saz-e-dil ne naghma-parwari ki aabru rakh li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.