Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham ke baadal dil-e-nashad pe aise chhae

Athar Raz

gham ke baadal dil-e-nashad pe aise chhae

Athar Raz

MORE BYAthar Raz

    ġham ke bādal dil-e-nāshād pe aise chhā.e

    sāya-e-gul meñ bhī hamrāz na hañsne paa.e

    yuuñ tasavvur meñ dabe paañv tirī yaad aa.ī

    jis tarah shaam bāñhoñ meñ sitāre aa.e

    vaqt dhuup meñ ham sāya-e-hasrat ban kar

    do ghaḌī kū-e-tamannā meñ na chalne paa.e

    zindagī mauj-e-talātum tarah ruk na sakī

    yuuñ to har moḌ pe tūfān hazāroñ aa.e

    is se manzil pata pūchh rahī hai duniyā

    jis manzil ke tasavvur se bhī ghabrā.e

    'rāz' ehsās ke āñgan meñ hoñ tanhā tanhā

    ghup añdherā hai magar saath haiñ ġham ke saa.e

    gham ke baadal dil-e-nashad pe aise chhae

    saya-e-gul mein bhi hamraaz na hansne pae

    yun tasawwur mein dabe panw teri yaad aai

    jis tarah sham ki banhon mein sitare aae

    waqt ki dhup mein hum saya-e-hasrat ban kar

    do ghaDi ku-e-tamanna mein na chalne pae

    zindagi mauj-e-talatum ki tarah ruk na saki

    yun to har moD pe tufan hazaron aae

    is se manzil ka pata puchh rahi hai duniya

    jis ka manzil ke tasawwur se bhi ji ghabrae

    'raaz' ehsas ke aangan mein hon tanha tanha

    ghup andhera hai magar sath hain gham ke sae

    Source:

    Shora-e-London (Pg. 95)

    • Author: Jauhar Zahiri
      • Edition: 1985
      • Publisher: Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now