Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham ke be-nur mazaron ka gala ghonT aaya

Nitin Nayab

gham ke be-nur mazaron ka gala ghonT aaya

Nitin Nayab

MORE BYNitin Nayab

    ġham ke be-nūr mazāroñ galā ghoñT aayā

    saare be-mehr sahāroñ galā ghoñT aayā

    qarya-e-hijr ke ik ghar vo vīrān āñgan

    vasl ke shoḳh nazāroñ galā ghoñT aayā

    raah ke sañg ko suulī pe chaḌhāyā pahle

    aur phir paañv ke ḳhāroñ galā ghoñT aayā

    roz sūraj ki taraf se ye savāl aatā hai

    kyā maiñ un chand sitāroñ galā ghoñT aayā

    zulmat-e-shab maiñ vo bastī ke nashīnoñ junūn

    shahr saare manāroñ galā ghoñT aayā

    haa.e ik phuul masalne ko ye kāñToñ hujūm

    ke gulshan meñ bahāroñ galā ghoñT aayā

    Dār-e-purkhār pe laTkā ke sulagte phande

    qatra-e-āb sharāroñ galā ghoñT aayā

    aaj phir zabt-e-rag-e-jāñ se nikal kar 'nāyāb'

    dard ke jalte dayāroñ galā ghoñT aayā

    gham ke be-nur mazaron ka gala ghonT aaya

    sare be-mehr sahaaron ka gala ghonT aaya

    qarya-e-hijr ke ek ghar ka wo viran aangan

    wasl ke shoKH nazaron ka gala ghonT aaya

    rah ke sang ko suli pe chaDhaya pahle

    aur phir panw ke KHaron ka gala ghonT aaya

    roz suraj ki taraf se ye sawal aata hai

    kya main un chand sitaron ka gala ghonT aaya

    zulmat-e-shab main wo basti ke nashinon ka junun

    shahr ki sare manaron ka gala ghonT aaya

    hae ek phul masalne ko ye kanTon ka hujum

    ja ke gulshan mein bahaaron ka gala ghonT aaya

    Dar-e-purkhaar pe laTka ke sulagte phande

    qatra-e-ab shararon ka gala ghonT aaya

    aaj phir zabt-e-rag-e-jaan se nikal kar 'nayab'

    dard ke jalte dayaron ka gala ghonT aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now