gham ke maron ki agar aankh se aansu nikle

gham ke maron ki agar aankh se aansu nikle
Munawwar Tabish Sambhali
MORE BYMunawwar Tabish Sambhali
ġham ke māroñ kī agar aañkh se aañsū nikle
'ain mumkin hai ki tazlīl kā pahlū nikle
gul se ḳhushbū kā nikalnā to koī baat nahīñ
baat to jab hai kisī sang se ḳhushbū nikle
koī bismil koī maqtūl nazar aa.egā
apne shānoñ pe vo bikhrā ke jo gesū nikle
merī mahrūmiyāñ Das leñgī yaqīnan tujh ko
apnī ḳhushiyoñ ke jazīroñ se agar tū nikle
'aql kahtī hai ki ab duur hī rahiye un se
dil ye kahtā hai mulāqāt kā pahlū nikle
shām-e-ġham kis kī tamanna kā janāza 'tābish'
apne kāñdhoñ par uThā.e hue jugnū nikle
gham ke maron ki agar aankh se aansu nikle
'ain mumkin hai ki tazlil ka pahlu nikle
gul se KHushbu ka nikalna to koi baat nahin
baat to jab hai kisi sang se KHushbu nikle
koi bismil koi maqtul nazar aaega
apne shanon pe wo bikhra ke jo gesu nikle
meri mahrumiyan Das lengi yaqinan tujh ko
apni KHushiyon ke jaziron se agar tu nikle
'aql kahti hai ki ab dur hi rahiye un se
dil ye kahta hai mulaqat ka pahlu nikle
sham-e-gham kis ki tamanna ka janaza 'tabish'
apne kandhon par uThae hue jugnu nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.