gham ke sae apni qamat se siwa kaise hue
ġham ke saa.e apnī qāmat se sivā kaise hue
shahr-e-ġham meñ itne hangāma bapā kaise hue
ḳhvāb in āñkhoñ se yā-rab kaun chun kar le gayā
'aks har manzar ke mahrūm-e-hinā kaise hue
aap ke dāman se kyoñ aa.ī kaf-e-qātil kī bū
aap munsif the to mauzū'-e-sazā kaise hue
halqa-e-zanjīr TuuTā sūrat-e-āb-e-ravāñ
phuul jaise haath ḳhanjar-āzmā kaise hue
nā-sipāsī dil kī fitrat thī magar hairat meñ huuñ
haath apne aaj masrūf-e-du'ā kaise hue
log apnī kaj-kulāhī par bahut sarshār the
maslahat ke sāmne be-dast-o-pā kaise hue
dekhnā ye saiqal-e-ġham kā karishma hai 'suhail'
zang-ālūda the rashk-e-ā.ina kaise hue
gham ke sae apni qamat se siwa kaise hue
shahr-e-gham mein itne hangama bapa kaise hue
KHwab in aankhon se ya-rab kaun chun kar le gaya
'aks har manzar ke mahrum-e-hina kaise hue
aap ke daman se kyon aai kaf-e-qatil ki bu
aap munsif the to mauzu'-e-saza kaise hue
halqa-e-zanjir TuTa surat-e-ab-e-rawan
phul jaise hath KHanjar-azma kaise hue
na-sipasi dil ki fitrat thi magar hairat mein hun
hath apne aaj masruf-e-du'a kaise hue
log apni kaj-kulahi par bahut sarshaar the
maslahat ke samne be-dast-o-pa kaise hue
dekhna ye saiqal-e-gham ka karishma hai 'suhail'
zang-aluda the rashk-e-aina kaise hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.