gham ki aaghosh mein samae hue
ġham kī āġhosh meñ samā.e hue
ham zamāne ke haiñ satā.e hue
dil ke andar bahut añdherā hai
jab se apne hameñ parā.e hue
is zamāne se kuchh umiid nahīñ
phir bhī ummīd ko lagā.e hue
terī mahfil meñ aa ga.e hamdam
aaj 'ādil' haiñ sar jhukā.e hue
gham ki aaghosh mein samae hue
hum zamane ke hain satae hue
dil ke andar bahut andhera hai
jab se apne hamein parae hue
is zamane se kuchh umid nahin
phir bhi ummid ko lagae hue
teri mahfil mein aa gae hamdam
aaj 'adil' hain sar jhukae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.