Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham ki dhup aur gham ke shajar baKHsh de

Mahboob Anwar

gham ki dhup aur gham ke shajar baKHsh de

Mahboob Anwar

MORE BYMahboob Anwar

    ġham dhuup aur ġham ke shajar baḳhsh de

    mujh ko maqtal sab rahguzar baḳhsh de

    pheñk kar koī patthar na māyūs ho

    dil shāḳhoñ meñ itne samar baḳhsh de

    saare chehre yahāñ āshnā ban ga.e

    ajnabī shahr ab safar baḳhsh de

    ab chaTānoñ meñ ābādiyāñ Dhal ga.iiñ

    mujh ko tesha-garī hunar baḳhsh de

    muḌ ke dekhūñ to patthar ban jā.ūñ maiñ

    ik sadā aisī bhī mo'atabar baḳhsh de

    rut badalte rafīq-e-qalam ko mire

    ik mirā e'tibār-e-nazar baḳhsh de

    kaam aa.eñ jo ġhairoñ ke mere sivā

    in duāoñ meñ merī asar baḳhsh de

    pyaas pyaas hai jab muqaddar mirā

    karbalā mujhe dopahar baḳhsh de

    gham ki dhup aur gham ke shajar baKHsh de

    mujh ko maqtal ki sab rahguzar baKHsh de

    phenk kar koi patthar na mayus ho

    dil ki shaKHon mein itne samar baKHsh de

    sare chehre yahan aashna ban gae

    ajnabi shahr ka ab safar baKHsh de

    ab chaTanon mein aabaadiyan Dhal gain

    mujh ko tesha-gari ka hunar baKHsh de

    muD ke dekhun to patthar ka ban jaun main

    ek sada aisi bhi mo'atabar baKHsh de

    rut badalte rafiq-e-qalam ko mere

    ek mera e'tibar-e-nazar baKHsh de

    kaam aaen jo ghairon ke mere siwa

    in duaon mein meri asar baKHsh de

    pyas hi pyas hai jab muqaddar mera

    karbala ki mujhe dopahar baKHsh de

    Source:

    Nuqte Ka Safar (Pg. 45)

    • Author: Mahboob Anwar
      • Publisher: Mahboob Anwar
      • Year of Publication: 1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now