gham mein Dubi subh phiki sham dekh
ġham meñ Duubī sub.h phīkī shaam dekh
iltifāt-e-gardish-e-ayyām dekh
zarf ḳhuddārī sharāfat ḳhāmushī
in kitāboñ meñ hamārā naam dekh
mai-kade meñ hai fazā-e-ashk-e-ġham
le rahā hai siskiyāñ har jaam dekh
shahr meñ garje to barse dasht meñ
daur-e-nau ke bādaloñ kā kaam dekh
ho ga.e vo mā.il-e-lutf-o-karam
sabr ke āġhāz kā anjām dekh
daane kī jānib na baḌh murġh-e-chaman
qaid kā sāmān zer-e-dām dekh
rāh-e-ġham meñ miltī hai kaisī ḳhushī
saath mere chal ke ik do gaam dekh
likh rahā hai har varaq par terā naam
ai 'qamar' apne qalam kā kaam dekh
gham mein Dubi subh phiki sham dekh
iltifat-e-gardish-e-ayyam dekh
zarf KHuddari sharafat KHamushi
in kitabon mein hamara nam dekh
mai-kade mein hai faza-e-ashk-e-gham
le raha hai siskiyan har jam dekh
shahr mein garje to barse dasht mein
daur-e-nau ke baadalon ka kaam dekh
ho gae wo mail-e-lutf-o-karam
sabr ke aaghaz ka anjam dekh
dane ki jaanib na baDh murgh-e-chaman
qaid ka saman zer-e-dam dekh
rah-e-gham mein milti hai kaisi KHushi
sath mere chal ke ek do gam dekh
likh raha hai har waraq par tera nam
ai 'qamar' apne qalam ka kaam dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.