Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham nahin jo phul itne roz murjhate rahe

Wajahat Ali Sandailvi

gham nahin jo phul itne roz murjhate rahe

Wajahat Ali Sandailvi

MORE BYWajahat Ali Sandailvi

    ġham nahīñ jo phuul itne roz murjhāte rahe

    qāfile phūloñ ke gulshan meñ na.e aate rahe

    jab talak apne charāġh-e-ārzū jalte rahe

    be-ḳhatar tārīk rāhoñ par bhī ham chalte rahe

    apnī barbādī baa.is ham kisī ko kyā kaheñ

    apne rahzan ḳhud bane aur ḳhud ham luTte rahe

    zindagī zulmateñ baḌhtī rahīñ baḌhtī rahīñ

    saikḌoñ ḳhurshīd-o-māh niklā kiye Dhalte rahe

    the sharīk-e-bazm apne māh-o-anjum kahkashāñ

    ham sukūt-e-bāhamī se guftugū karte rahe

    farq aatā hai nahīñ dīvār ke qad meñ zarā

    saa.e us ke ḳhud simTe ḳhud vo baḌhte rahe

    ḳhud se hai kāñptā is daur meñ ab har koī

    jis tarah ġhāroñ meñ pahle aadmī Darte rahe

    zindagī tābnākī daulat-o-sarvat se kyoñ

    chhichhle dariyā roz baḌhte rahe ghaTte rahe

    ilm-o-dānish ke tanāze' ḳhuun ke dariyā bane

    ābyārī jehl ke paudoñ vo karte rahe

    kāvisheñ terī ye sab barq-e-sitam bekār haiñ

    āshiyāñ jalte ga.e aur āshiyāñ bante rahe

    gham nahin jo phul itne roz murjhate rahe

    qafile phulon ke gulshan mein nae aate rahe

    jab talak apne charagh-e-arzu jalte rahe

    be-KHatar tarik rahon par bhi hum chalte rahe

    apni barbaadi ka bais hum kisi ko kya kahen

    apne rahzan KHud bane aur KHud hi hum luTte rahe

    zindagi ki zulmaten baDhti rahin baDhti rahin

    saikDon KHurshid-o-mah nikla kiye Dhalte rahe

    the sharik-e-bazm apne mah-o-anjum kahkashan

    hum sukut-e-bahami se guftugu karte rahe

    farq aata hai nahin diwar ke qad mein zara

    sae us ke KHud hi simTe KHud hi wo baDhte rahe

    KHud se hi hai kanpta is daur mein ab har koi

    jis tarah ghaaron mein pahle aadmi Darte rahe

    zindagi ki tabnaki daulat-o-sarwat se kyon

    chhichhle dariya roz hi baDhte rahe ghaTte rahe

    ilm-o-danish ke tanaze' KHun ke dariya bane

    aabyari jehl ke paudon ki wo karte rahe

    kawishen teri ye sab barq-e-sitam bekar hain

    aashiyan jalte gae aur aashiyan bante rahe

    Source:

    (Pg. 42)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now