Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham sahe ruswa hue jazbaat ki tahqir ki

Syed Ashoor Kazmi

gham sahe ruswa hue jazbaat ki tahqir ki

Syed Ashoor Kazmi

MORE BYSyed Ashoor Kazmi

    ġham sahe rusvā hue jazbāt tahqīr

    ham ne chāhā aap ko ham ne baḌī taqsīr

    rauzan-e-zindāñ se dar aa.ī hai sūraj kiran

    ban ga.ī nāqūs-e-āzādī sadā zanjīr

    ḳhuun ke chhīñTe paḌe haiñ shaiḳh dastār par

    shahr galiyoñ se aa.ī hai sadā takbīr

    zaat ke andar talātum zaat ke bāhar sukūt

    maslahat-koshī ne kaisī shaḳhsiyyat ta.amīr

    ghar ke darbānoñ ne saare ghar pe qabza kar liyā

    ham ne āñkheñ kholne meñ kis qadar tāḳhīr

    rāsta DhūñDo ki manzil zaat meñ mahsūr hai

    band darvāzoñ ke bāhar hai kiran tanvīr

    gham sahe ruswa hue jazbaat ki tahqir ki

    hum ne chaha aap ko hum ne baDi taqsir ki

    rauzan-e-zindan se dar aai hai suraj ki kiran

    ban gai naqus-e-azadi sada zanjir ki

    KHun ke chhinTe paDe hain shaiKH ki dastar par

    shahr ki galiyon se aai hai sada takbir ki

    zat ke andar talatum zat ke bahar sukut

    maslahat-koshi ne kaisi shaKHsiyyat tamir ki

    ghar ke darbanon ne sare ghar pe qabza kar liya

    hum ne aankhen kholne mein kis qadar taKHir ki

    rasta DhunDo ki manzil zat mein mahsur hai

    band darwazon ke bahar hai kiran tanwir ki

    Source:

    Shora-e-London (Pg. 43)

    • Author: Jauhar Zahiri
      • Edition: 1985
      • Publisher: Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now