Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghami KHushi banTi thi apne bistar se

Rakhshanda Naved

ghami KHushi banTi thi apne bistar se

Rakhshanda Naved

MORE BYRakhshanda Naved

    ġhamī ḳhushī bāñTī thī apne bistar se

    merī ham-safarī thī apne bistar se

    chaar taraf resham thā us meñ ulajh ga.ī

    mushkil se phir bachī thī apne bistar se

    silvaT silvaT taare karte hue shumār

    sehr-misāl utrī thī apne bistar se

    nīndeñ palak meñ bhar kar ruī mānind

    idhar udhar bhaTkī thī apne bistar se

    jañgal jānib phir havā ne kuuch kiyā

    kyā vo tañg paḌī thī apne bistar se

    pañkhe par ābād gharauñdā chiḌiyā

    ajab manzar-kashī thī apne bistar se

    ghami KHushi banTi thi apne bistar se

    meri ham-safari thi apne bistar se

    chaar taraf resham tha us mein ulajh gai

    mushkil se phir bachi thi apne bistar se

    silwaT silwaT tare karte hue shumar

    sehr-misal utri thi apne bistar se

    ninden palak mein bhar kar rui ki manind

    idhar udhar bhaTki thi apne bistar se

    jangal ki jaanib phir hawa ne kuch kiya

    kya wo tang paDi thi apne bistar se

    pankhe par aabaad gharaunda chiDiya ka

    ajab hi manzar-kashi thi apne bistar se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now