Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghamon ki dhup mein bargad ki chhanw jaisi hai

Tanveer Sipra

ghamon ki dhup mein bargad ki chhanw jaisi hai

Tanveer Sipra

MORE BYTanveer Sipra

    ġhamoñ dhuup meñ bargad chhāñv jaisī hai

    mire liye mirī ham-shīr maaoñ jaisī hai

    bhaTaktā huuñ mujhe rāsta dikhātī hai

    vo ham-safar hai magar rahnumāoñ jaisī hai

    ho jaise ek kumbe saarī ābādī

    fazā hamāre mohalle gaañv jaisī hai

    na.e bashar ne musaḳhḳhar kiye mah-o-anjum

    na.e dimāġh meñ vus.at ḳhalāoñ jaisī hai

    haqīqatoñ ke muqābil Thahar nahīñ saktī

    purānī fikr bhī jhūTe ḳhudāoñ jaisī hai

    ḳhalā-navardoñ manzil nahīñ paḌāv hai

    misāl chāñd 'siprā' sarāoñ jaisī hai

    ghamon ki dhup mein bargad ki chhanw jaisi hai

    mere liye meri ham-shir maon jaisi hai

    bhaTakta hun tu mujhe rasta dikhati hai

    wo ham-safar hai magar rahnumaon jaisi hai

    ho jaise ek hi kumbe ki sari aabaadi

    faza hamare mohalle ki ganw jaisi hai

    nae bashar ne musaKHKHar kiye mah-o-anjum

    nae dimagh mein wusat KHalaon jaisi hai

    haqiqaton ke muqabil Thahar nahin sakti

    purani fikr bhi jhuTe KHudaon jaisi hai

    KHala-nawardon ki manzil nahin paDaw hai

    misal chand ki 'sipra' saraon jaisi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now