Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghamon ki rah mein taskin ka maqam to hai

Wahid Ansari Burhanpur

ghamon ki rah mein taskin ka maqam to hai

Wahid Ansari Burhanpur

MORE BYWahid Ansari Burhanpur

    ġhamoñ raah meñ taskīn maqām to hai

    nahīñ hai sub.h-e-banaras avadh shaam to hai

    nahīñ hai gehūñ mayassar to jau ġhanīmat hai

    nahīñ hai huur jo biivī siyāh-fām to hai

    nikammā chor uchakkā sahī magar jānāñ

    tumhāre dil meñ hamārā koī maqām to hai

    mire mizāj rangīniyāñ na dekho tum

    tumhāre haath meñ begam mirī lagām to hai

    na jaane patlī galī se vo kab nikal legā

    nahīñ hai T b b p magar zukām to hai

    bas itnā soch ke ḳhush huuñ maiñ apnī hālat par

    faqīr sahī par bādshāh naam to hai

    bane na ham jo minister to ġham nahīñ 'vāhid'

    hamāre saath meñ chamchoñ izhdihām to hai

    ghamon ki rah mein taskin ka maqam to hai

    nahin hai subh-e-banaras awadh ki sham to hai

    nahin hai gehun mayassar to jau ghanimat hai

    nahin hai hur jo biwi siyah-fam to hai

    nikamma chor uchakka sahi magar jaanan

    tumhaare dil mein hamara koi maqam to hai

    mere mizaj ki ranginiyan na dekho tum

    tumhaare hath mein begam meri lagam to hai

    na jaane patli gali se wo kab nikal lega

    nahin hai T b ya b p magar zukaam to hai

    bas itna soch ke KHush hun main apni haalat par

    faqir hi sahi par baadshah nam to hai

    bane na hum jo minister to gham nahin 'wahid'

    hamare sath mein chamchon ka izhdiham to hai

    Source:

    Zinda Tilismat (Pg. 66)

    • Author: Wahid Ansari Burhanpur
      • Publisher: Tanveer Ahmad Ansari
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now