ġhanīmat se guzārā kar rahā huuñ
magar charchā hai jalsa kar rahā huuñ
zamāne tujh se tauba kar rahā huuñ
badan kā rañg niilā kar rahā huuñ
Thaharnā tak nahīñ sīkhā abhī tak
azal se vaqt zaa.e kar rahā huuñ
tasallī aaj bhī hai fāsloñ par
sarāboñ kā hī pīchhā kar rahā huuñ
mirā saaya mire bas meñ nahīñ hai
magar duniyā pe daavā kar rahā huuñ
ghanimat se guzara kar raha hun
magar charcha hai jalsa kar raha hun
zamane tujh se tauba kar raha hun
badan ka rang nila kar raha hun
Thaharna tak nahin sikha abhi tak
azal se waqt zae kar raha hun
tasalli aaj bhi hai faslon par
sarabon ka hi pichha kar raha hun
mera saya mere bas mein nahin hai
magar duniya pe dawa kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.