Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ganj-e-maKHfi se dilon ko ba-KHabar karta hua

Taj Adil

ganj-e-maKHfi se dilon ko ba-KHabar karta hua

Taj Adil

MORE BYTaj Adil

    ganj-e-maḳhfī se diloñ ko bā-ḳhabar kartā huā

    ik tajassus zaat ke andar safar kartā huā

    ik sadā pe munjamid hotī huī sab sā.ateñ

    ek lamha zindagī ko muḳhtasar kartā huā

    ik zarā baat par manzar dhuāñ hote hue

    ik zarā zahr bastī ko khañDar kartā huā

    sabz lamhe vaqt nam aañkh se girte hue

    zard mausam manzaroñ ko be-samar kartā huā

    kis rishta TuuT kar bikhrā hai merī aañkh meñ

    kaun hai ye zaḳhm siine meñ ghar kartā huā

    mere andar lamha lamha Dūbtī ik kā.enāt

    'tāj' koī naqsh hai dil meñ bhañvar kartā huā

    ganj-e-maKHfi se dilon ko ba-KHabar karta hua

    ek tajassus zat ke andar safar karta hua

    ek sada pe munjamid hoti hui sab saaten

    ek lamha zindagi ko muKHtasar karta hua

    ek zara si baat par manzar dhuan hote hue

    ek zara sa zahr basti ko khanDar karta hua

    sabz lamhe waqt ki nam aankh se girte hue

    zard mausam manzaron ko be-samar karta hua

    kis ka rishta TuT kar bikhra hai meri aankh mein

    kaun hai ye zaKHm sa sine mein ghar karta hua

    mere andar lamha lamha Dubti ek kaenat

    'taj' koi naqsh hai dil mein bhanwar karta hua

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now