gar dekhna ho aaKHiri darje ki aziyyat
gar dekhnā ho āḳhirī darje kī aziyyat
dekho mire kamre mire takiye kī aziyyat
ye kah ke vo darvesh gayā chhoḌ ke duniyā
ab 'ishq ke virse mire hisse kī aziyyat
mar jaanā baḌī baat nahīñ hotī mire dost
tum log nahīñ jānte sadme kī aziyyat
us vaqt javāñ beTe pe kyā kuchh na guzar jaa.e
jab baap batā.e use kandhe kī aziyyat
sone meñ magan log nahīñ samjheñge 'ātif'
kis darja maza detī hai girye kī aziyyat
gar dekhna ho aaKHiri darje ki aziyyat
dekho mere kamre mere takiye ki aziyyat
ye kah ke wo darwesh gaya chhoD ke duniya
ab 'ishq ke wirse mere hisse ki aziyyat
mar jaana baDi baat nahin hoti mere dost
tum log nahin jaante sadme ki aziyyat
us waqt jawan beTe pe kya kuchh na guzar jae
jab bap batae use kandhe ki aziyyat
sone mein magan log nahin samjhenge 'atif'
kis darja maza deti hai girye ki aziyyat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.