Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gar dost bhi sau jafa karega

Bal Mukund Besabr

gar dost bhi sau jafa karega

Bal Mukund Besabr

MORE BYBal Mukund Besabr

    gar dost bhī sau jafā karegā

    dushman bechāra kyā karegā

    jab band-e-qabā vo karegā

    gul chaak apnī qabā karegā

    kar ke koī chaah kyā karegā

    fariyād-o-fuġhāñ kyā karegā

    daaġh apnā charāġh-e-ḳhāna-e-dil

    sub.h-e-abad jalā karegā

    juz be-kasī apnā aur hai kaun

    jo da.avā-e-ḳhūñ-bahā karegā

    sar-gashtagī na raah ho tai

    jab tak ki na sar ko karegā

    jab kaT ke giregā us ke par

    sar sajda-e-shukr adā karegā

    jab umr bevafā hai 'besabr'

    phir kaun bhalā vafā karegā

    gar dost bhi sau jafa karega

    dushman bechaara kya karega

    jab band-e-qaba wo wa karega

    gul chaak apni qaba karega

    kar ke koi chah kya karega

    fariyaad-o-fughan kya karega

    dagh apna charagh-e-KHana-e-dil

    ta subh-e-abad jala karega

    juz be-kasi apna aur hai kaun

    jo dawa-e-KHun-baha karega

    sar-gashtagi ki na rah ho tai

    jab tak ki na sar ko pa karega

    jab kaT ke girega us ke pa par

    sar sajda-e-shukr ada karega

    jab umr hi bewafa hai 'besabr'

    phir kaun bhala wafa karega

    Source:

    Ghalib Ka Ek Mashshaq Shagird Balmukund Besabr (Pg. 119)

    • Author: Kalidas Gupta Raza
      • Publisher: Sakar Publisher, Mumbai
      • Year of Publication: 1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now