Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gar kahun ghair se phir rabt hua tujhko kya

Jurat Qalandar Bakhsh

gar kahun ghair se phir rabt hua tujhko kya

Jurat Qalandar Bakhsh

MORE BYJurat Qalandar Bakhsh

    gar kahūñ ġhair se phir rabt huā tujh ko kyā

    kyā burā maan ke kahtā hai bhalā tujh ko kyā

    sar uThānā tujhe bālīñ se jo dushvār hai ab

    kyuuñ dilā baiThe-biThā.e ye huā tujh ko kyā

    pūchhūñ ranjish sabab us se to jhuñjhlā ke kahe

    ''gar ḳhafā huuñ to maiñ huuñ aap ko, tujh ko kyā''

    ham asīrān-e-qafas kyā kaheñ ḳhāmosh haiñ kyuuñ

    raah le apnī chal ai bād-e-sabā tujh ko kyā

    gar kiyā us se judā mujh ko to kah de ye falak

    mere aur us ke na milne se milā tujh ko kyā

    haath uThātā nahīñ gar ishq se maiñ ai nāseh

    nasīhat se mirī haath uThā tujh ko kyā

    gar kaho nām-e-ḳhudā lagte ho tum kyā bhale

    to ye kahtā hai ''bhalā huuñ to bhalā, tujh ko kyā''

    kyuuñ dilā bistar-e-ġham par hai ḳhāmosh paḌā

    kuchh to kah mujh se kisī ne ye kahā tujh ko kyā

    ab vo mauqūf huā nāma-o-paiġhām bhī aah

    harf ġhairoñ asar kar gayā tujh ko kyā

    mere milne se kiyā man.a kisī ne jo tujhe

    ne is baat ko sun kar na kahā tujh ko kyā

    paik-e-ashk āñkhoñ se chal nikle jo ḳhat paḌhte

    'jur.at' ab kuchh batā us ne likhā tujh ko kyā

    gar kahun ghair se phir rabt hua tujh ko kya

    kya bura man ke kahta hai bhala tujh ko kya

    sar uThana tujhe baalin se jo dushwar hai ab

    kyun dila baiThe-biThae ye hua tujh ko kya

    puchhun ranjish ka sabab us se to jhunjhla ke kahe

    gar KHafa hun to main hun aap ko, ja tujh ko kya

    hum asiran-e-qafas kya kahen KHamosh hain kyun

    rah le apni chal ai baad-e-saba tujh ko kya

    gar kiya us se juda mujh ko to kah de ye falak

    mere aur us ke na milne se mila tujh ko kya

    hath uThata nahin gar ishq se main ai naseh

    tu nasihat se meri hath uTha tujh ko kya

    gar kaho nam-e-KHuda lagte ho tum kya hi bhale

    to ye kahta hai bhala hun to bhala, tujh ko kya

    kyun dila bistar-e-gham par hai tu KHamosh paDa

    kuchh to kah mujh se kisi ne ye kaha tujh ko kya

    ab wo mauquf hua nama-o-paigham bhi aah

    harf ghairon ka asar kar hi gaya tujh ko kya

    mere milne se kiya mana kisi ne jo tujhe

    tu ne is baat ko sun kar na kaha tujh ko kya

    paik-e-ashk aankhon se chal nikle jo KHat paDhte hi

    'jurat' ab kuchh tu bata us ne likha tujh ko kya

    Source:

    Kulliyat-e-Jura t áVolume-01 â (Pg. page-107 and e-book-147)

    • Author: Jurat Qalandar Bakhsh
      • Edition: 1968
      • Publisher: Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now