Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gar mere baiThne se wo aazar khinchte

Taskeen Dehlavi

gar mere baiThne se wo aazar khinchte

Taskeen Dehlavi

MORE BYTaskeen Dehlavi

    gar mere baiThne se vo āzār khīñchte

    to apne dar aa ke vo dīvār khīñchte

    naaz o adā o ġhamza se yuuñ dil liyā mirā

    le jaa.eñ jaise mast ko hushyār khīñchte

    hasratā huī unheñ aane tab ḳhabar

    laa.e jab us galī meñ mujhe yaar khīñchte

    aa.egā un ke kahne se vo gul yahāñ talak

    kāñToñ pe kyuuñ haiñ ab mujhe aġhyār khīñchte

    vaañ shauq jāliyoñ hai us jāma-zeb ko

    yaañ apne pairahan se haiñ ham taar khīñchte

    teġh-e-nigāh-e-yār uchaTtī lagī hai phir

    barsoñ guzar ga.e mujhe āzār khīñchte

    kahte haiñ shab vo kahte the aatā hai ghuTā

    naale jo ham rahe pas-e-dīvār khīñchte

    āzurda un ko dekhte jaañ nikal ga.ī

    vo dekh mujh ko rah ga.e talvār khīñchte

    taskīn' chaak chaak huā dil jo shāne ko

    dekhā kisī turra-e-tarrār khīñchte

    gar mere baiThne se wo aazar khinchte

    to apne dar ki aa ke wo diwar khinchte

    naz o ada o ghamza se yun dil liya mera

    le jaen jaise mast ko hushyar khinchte

    wa hasrata hui unhen aane ki tab KHabar

    lae jab us gali mein mujhe yar khinchte

    aaega un ke kahne se wo gul yahan talak

    kanTon pe kyun hain ab mujhe aghyar khinchte

    wan shauq jaliyon ka hai us jama-zeb ko

    yan apne pairahan se hain hum tar khinchte

    tegh-e-nigah-e-yar uchaTti lagi hai phir

    barson guzar gae mujhe aazar khinchte

    kahte hain shab wo kahte the aata hai ji ghuTa

    nale jo hum rahe pas-e-diwar khinchte

    aazurda un ko dekhte hi jaan nikal gai

    wo dekh mujh ko rah gae talwar khinchte

    taskin' ka chaak chaak hua dil jo shane ko

    dekha kisi ka turra-e-tarrar khinchte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now