gar mere sang mein nahin hai tu
gar mere sang meñ nahīñ hai tū
phir kisī Dhang meñ nahīñ hai tū
kuchh to saada libās huuñ maiñ bhī
aur kuchh rang meñ nahīñ hai tū
ab nikālūñ kahāñ kahāñ se tujhe
mere kis ang meñ nahīñ hai tū
ye mohabbat hai koī khel nahīñ
yuuñ hī is jang meñ nahīñ hai tū
mujh ko lagtī hai shor ye duniyā
mere āhang meñ nahīñ hai tū
gar mere sang mein nahin hai tu
phir kisi Dhang mein nahin hai tu
kuchh to sada libas hun main bhi
aur kuchh rang mein nahin hai tu
ab nikalun kahan kahan se tujhe
mere kis ang mein nahin hai tu
ye mohabbat hai koi khel nahin
yun hi is jang mein nahin hai tu
mujh ko lagti hai shor ye duniya
mere aahang mein nahin hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.