garan hai zoaf jab hum ko hansi mein wo uDate hain
garan hai zoaf jab hum ko hansi mein wo uDate hain
Mirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi
MORE BYMirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi
garāñ hai zo.af jab ham ko hañsī meñ vo uḌāte haiñ
to misl-e-gard uTh kar ḳhaak par ham baiTh jaate haiñ
kaf-e-afsos kā malnā hai apnī sho.abada-bāzī
jigar kī aag ko hāthoñ se mal mal kar bujhāte haiñ
sikhā.ī un ko ḳhallāqī payām-e-vasl ne mere
na.ī sūrat kā vo har dam nayā hiila banāte haiñ
ḳhudā kī shaan hai ranjish bhī apnī un ko zīnat hai
ki jab vo dekhte haiñ ham ko apnā muñh banāte haiñ
nahīñ uThtī kisī kī baat ye nāzuk mizājī hai
ta.ajjub hai vo har dam kis tarah fitna uThāte haiñ
ġhizā chhuTne kā merī jab kisī se zikr sunte haiñ
to kahte haiñ ki vo dhoke mire hāthoñ se khāte haiñ
nikālā hai unhoñ ne kis maze kā zikr ai 'sābir'
adū ko gāliyāñ dete haiñ aur mujh ko sunāte haiñ
garan hai zoaf jab hum ko hansi mein wo uDate hain
to misl-e-gard uTh kar KHak par hum baiTh jate hain
kaf-e-afsos ka malna hai apni shoabada-bazi
jigar ki aag ko hathon se mal mal kar bujhate hain
sikhai un ko KHallaqi payam-e-wasl ne mere
nai surat ka wo har dam naya hila banate hain
KHuda ki shan hai ranjish bhi apni un ko zinat hai
ki jab wo dekhte hain hum ko apna munh banate hain
nahin uThti kisi ki baat ye nazuk mizaji hai
tajjub hai wo har dam kis tarah fitna uThate hain
ghiza chhuTne ka meri jab kisi se zikr sunte hain
to kahte hain ki wo dhoke mere hathon se khate hain
nikala hai unhon ne kis maze ka zikr ai 'sabir'
adu ko galiyan dete hain aur mujh ko sunate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.