Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

garche kuchh rang us ka kala hai

Azmatullah Khan

garche kuchh rang us ka kala hai

Azmatullah Khan

MORE BYAzmatullah Khan

    garche kuchh rañg us kaalā hai

    merā mahbūb hai nirālā hai

    tujh ko miltā hai ḳhuub white-mīT

    terī āñkhoñ meñ jo ujālā hai

    jo akaḌtā misāl-e-sarv rahe

    aise afsar bol-bālā hai

    jis ko rishvat rahguzar kahiye

    ham ne vo rāsta nikālā hai

    chiyūñTiyoñ tarah haiñ chimTī huī

    terī yādoñ ne maar Daalā hai

    tum jo baiThī ho saas ke nazdīk

    zalzala koī aane vaalā hai

    chhup ke apnī bahan se mil jaa.e

    merā azmat vahī to saalā hai

    garche kuchh rang us ka kala hai

    mera mahbub hai nirala hai

    tujh ko milta hai KHub white-miT

    teri aankhon mein jo ujala hai

    jo akaDta misal-e-sarw rahe

    aise afsar ka bol-baala hai

    jis ko rishwat ki rahguzar kahiye

    hum ne wo rasta nikala hai

    chiyunTiyon ki tarah hain chimTi hui

    teri yaadon ne mar Dala hai

    tum jo baiThi ho sas ke nazdik

    zalzala koi aane wala hai

    chhup ke apni bahan se mil jae

    mera azmat wahi to sala hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now