aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gard-e-firaq ghaza kash-e-aina na ho

Abdul Hafiz Naeemi

gard-e-firaq ghaza kash-e-aina na ho

Abdul Hafiz Naeemi

MORE BYAbdul Hafiz Naeemi

    gard-e-firāq ġhāza kash-e-ā.ina na ho

    chāho jo tum to apne tasarruf meñ kyā na ho

    sajde ke har nishāñ pe hai ḳhuuñ jamā huā

    yaaro ye us ke ghar kahīñ rāsta na ho

    zaḳhmoñ mish.aleñ liye guzrā hai dil se kaun

    yādoñ koī bhaTkā huā qāfila na ho

    kab se khaḌā huuñ ek do-rāhe pe but banā

    sab kuchh jo dekhtā ho magar boltā na ho

    chūmo lagāo āñkhoñ se sar par rakkho use

    ye zindagī varaq kisī injīl na ho

    sau baar ik galī meñ mujhe le gayā ye vahm

    khiḌkī se koī maslahatan jhāñktā na ho

    sharmā ga.e the donoñ pahlī nazar ke baad

    shāyad tumheñ to yaad bhī vo vāqi.a na ho

    laao na mere sāmne aariz ke āftāb

    chehre pe koī harf-e-tamannā likhā na ho

    maazī ke reg-zār pe rakhnā sambhal ke paañv

    bachchoñ is meñ koī gharauñdā banā na ho

    ho kar judā bhī us se 'na.īmī' maiñ to luuñ

    lekin ye Dar hai is se kahīñ vo ḳhafā na ho

    gard-e-firaq ghaza kash-e-aina na ho

    chaho jo tum to apne tasarruf mein kya na ho

    sajde ke har nishan pe hai KHun sa jama hua

    yaro ye us ke ghar ka kahin rasta na ho

    zaKHmon ki mishalen liye guzra hai dil se kaun

    yaadon ka koi bhaTka hua qafila na ho

    kab se khaDa hun ek do-rahe pe but bana

    sab kuchh jo dekhta ho magar bolta na ho

    chumo lagao aankhon se sar par rakkho use

    ye zindagi waraq kisi injil ka na ho

    sau bar ek gali mein mujhe le gaya ye wahm

    khiDki se koi maslahatan jhankta na ho

    sharma gae the donon hi pahli nazar ke baad

    shayad tumhein to yaad bhi wo waqia na ho

    lao na mere samne aariz ke aaftab

    chehre pe koi harf-e-tamanna likha na ho

    mazi ke reg-zar pe rakhna sambhal ke panw

    bachchon ka is mein koi gharaunda bana na ho

    ho kar juda bhi us se 'naimi' main ji to lun

    lekin ye Dar hai is se kahin wo KHafa na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now