Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gardish-e-sham-o-sahar se bhi guzar kar dekha

Talib Shimlavi

gardish-e-sham-o-sahar se bhi guzar kar dekha

Talib Shimlavi

MORE BYTalib Shimlavi

    gardish-e-shām-o-sahar se bhī guzar kar dekhā

    mahfil-e-shams-o-qamar se bhī guzar kar dekhā

    na milā haañ na milā manzil-e-hastī surāġh

    vādī-e-fikr-o-nazar se bhī guzar kar dekhā

    dil chāhā na milā apne muqaddar milā

    mālik-e-dahr ke dar se bhī guzar kar dekhā

    talḳhī-e-zīst ko de paa.e na hargiz bhī fareb

    husn rāhguzar se bhī guzar kar dekhā

    ḳhaak ko ḳhaak samajhnā thā haqīqat se farār

    rif.at-e-la.al-o-gohar se bhī guzar kar dekhā

    sard sard rahī muft meñ badnām kiyā

    aah ne qalb-o-jigar se bhī guzar kar dekhā

    bā-murādoñ ke tabassum se hai 'tālib' savāl

    kyā kabhī dīda-e-tar se bhī guzar kar dekhā

    gardish-e-sham-o-sahar se bhi guzar kar dekha

    mahfil-e-shams-o-qamar se bhi guzar kar dekha

    na mila han na mila manzil-e-hasti ka suragh

    wadi-e-fikr-o-nazar se bhi guzar kar dekha

    dil ka chaha na mila apne muqaddar ka mila

    malik-e-dahr ke dar se bhi guzar kar dekha

    talKHi-e-zist ko de pae na hargiz bhi fareb

    husn ki rahguzar se bhi guzar kar dekha

    KHak ko KHak samajhna tha haqiqat se farar

    rifat-e-lal-o-gohar se bhi guzar kar dekha

    sard ki sard rahi muft mein badnam kiya

    aah ne qalb-o-jigar se bhi guzar kar dekha

    ba-muradon ke tabassum se hai 'talib' ka sawal

    kya kabhi dida-e-tar se bhi guzar kar dekha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now