Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gardish-e-waqt se iqbaal pareshan na ho

Iqbal Bharti

gardish-e-waqt se iqbaal pareshan na ho

Iqbal Bharti

MORE BYIqbal Bharti

    gardish-e-vaqt se 'iqbāl' pareshān na ho

    ye tabāhī bhī guzar jā.egī hairān na ho

    sub.h lā.egī kisī aish-o-tarab paiġhām

    shiddat-e-ranj se itnā pareshān na ho

    uljhaneñ aur bhī baḌh jaatī haiñ vaqt-e-gardish

    jaan lene yahī baat hai anjān na ho

    ḳhud galā ghoñT ke mar jaa.eñ yaqīnan ik din

    ham ko jiine agar dahr meñ armān na ho

    zindagī us bhalā aish meñ kyā guzregī

    jis ko duniyā meñ koī aish sāmān na ho

    ḳhuun se sīñch ke ābād kiyā hai is ko

    mere maulā mirā gulshan kabhī vīrān na ho

    hai azal se yahī dastūr-e-mohabbat ai dost

    shiddat-e-ġham se 'iqbāl' pareshān na ho

    gardish-e-waqt se 'iqbaal' pareshan na ho

    ye tabahi bhi guzar jaegi hairan na ho

    subh laegi kisi aish-o-tarab ka paigham

    shiddat-e-ranj se itna tu pareshan na ho

    uljhanen aur bhi baDh jati hain waqt-e-gardish

    jaan lene ki yahi baat hai anjaan na ho

    KHud gala ghonT ke mar jaen yaqinan ek din

    hum ko jine ka agar dahr mein arman na ho

    zindagi us ki bhala aish mein kya guzregi

    jis ko duniya mein koi aish ka saman na ho

    KHun se sinch ke aabaad kiya hai is ko

    mere maula mera gulshan kabhi viran na ho

    hai azal se yahi dastur-e-mohabbat ai dost

    shiddat-e-gham se tu 'iqbaal' pareshan na ho

    Source:

    Tanveer-e-Ghazal (Pg. 109)

    • Author: Iqbal Bharti
      • Publisher: Iqbal Bharti
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now