Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gardish-e-waqt zamane ki tarah hai

Abdul Wahab Sukhan

gardish-e-waqt zamane ki tarah hai

Abdul Wahab Sukhan

MORE BYAbdul Wahab Sukhan

    gardish-e-vaqt zamāne tarah hai

    zindagī ishq laḌāne tarah hai

    jis charchā ho bahut aisī ḳhamoshī

    ruuh meñ shor machāne tarah hai

    un āñkhoñ meñ Thaharne tamannā

    bistar-e-ḳhvāb sajāne tarah hai

    apnī qismat ke sitāre ta.āqub

    kisī rūThe ko manāne tarah hai

    us aamad ḳhushī bhī ho 'suḳhan' kyā

    jis aanā bhī na aane tarah hai

    gardish-e-waqt zamane ki tarah hai

    zindagi ishq laDane ki tarah hai

    jis ka charcha ho bahut aisi KHamoshi

    ruh mein shor machane ki tarah hai

    un ki aankhon mein Thaharne ki tamanna

    bistar-e-KHwab sajaane ki tarah hai

    apni qismat ke sitare ka taaqub

    kisi ruThe ko manane ki tarah hai

    us ki aamad KHushi bhi ho 'suKHan' kya

    jis ka aana bhi na aane ki tarah hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now