Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gareban dar gareban nukta-arai bhi hoti hai

Qateel Shifai

gareban dar gareban nukta-arai bhi hoti hai

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    garebāñ dar garebāñ nukta-ārā.ī bhī hotī hai

    bahār aa.e to dīvānoñ rusvā.ī bhī hotī hai

    ham un bazm tak pahuñchte haiñ kisī sūrat

    agarche raah meñ dīvār-e-tanhā.ī bhī hotī hai

    bikhartī hai vahī aksar ḳhizāñ-parvar bahāroñ meñ

    chaman meñ jo kalī pahle se murjhā.ī bhī hotī hai

    ba-nām-e-kufr-o-īmāñ be-muravvat haiñ jahāñ donoñ

    vahāñ shaiḳh-o-barahman shanāsā.ī bhī hotī hai

    chamaktī hai koī bijlī to sham'-e-rahguzar ban kar

    nigāh-e-barham in kuchh to sharmā.ī bhī hotī hai

    'qatīl' us dam bhī rahtā hai yahī ehsās-e-mahrūmī

    jab un shānoñ pe zulfoñ ghaTā chhā.ī bhī hotī hai

    gareban dar gareban nukta-arai bhi hoti hai

    bahaar aae to diwanon ki ruswai bhi hoti hai

    hum un ki bazm tak ja hi pahunchte hain kisi surat

    agarche rah mein diwar-e-tanhai bhi hoti hai

    bikharti hai wahi aksar KHizan-parwar bahaaron mein

    chaman mein jo kali pahle se murjhai bhi hoti hai

    ba-nam-e-kufr-o-iman be-murawwat hain jahan donon

    wahan shaiKH-o-barahman ki shanasai bhi hoti hai

    chamakti hai koi bijli to sham'-e-rahguzar ban kar

    nigah-e-barham in ki kuchh to sharmai bhi hoti hai

    'qatil' us dam bhi rahta hai yahi ehsas-e-mahrumi

    jab un shanon pe zulfon ki ghaTa chhai bhi hoti hai

    Source:

    Kalam Qateel Shifai (Pg. 91)

    • Author: Qateel Shifai
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot Pvt. Ltd
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now