aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gharib aadmi ko ThaT padshahi ka

Parveen Umm-e-Mushtaq

gharib aadmi ko ThaT padshahi ka

Parveen Umm-e-Mushtaq

MORE BYParveen Umm-e-Mushtaq

    ġharīb aadmī ko ThaaT pādshāhī

    ye pesh-ḳhema hai zālim tirī tabāhī

    ḳhadañg-e-āh ko roke rahā huuñ furqat meñ

    ḳhayāl hai mujhe aflāk tabāhī

    umiid kaise ho mahshar meñ surḳh-rūī

    hamesha kaam kiyā ho jo rū-siyāhī

    salām tak nahīñ lete kalām to kaisā

    faqīrī meñ bhī tabaḳhtūr hai bādshāhī

    shikast-o-fat.h zimma nahīñ dil-e-nādāñ

    laḌe hazār meñ ye kaam hai sipāhī

    ḳhizāb karte haiñ duniyā se jab ga.e guzre

    shugūn karte haiñ piirī meñ rū-siyāhī

    na āsmāñ ināyat na mehrbāñ vo shoḳh

    na pūchho haal ġharīboñ be-panāhī

    safed bāloñ pe kis vāste ḳhizāb lagā.eñ

    gayā zamāna javānī meñ rū-siyāhī

    ḳhatā.eñ ho ga.iiñ ma.adūm haj se ai 'parvīñ'

    gavāh ḳhud hai ḳhudā merī be-gunāhī

    gharib aadmi ko ThaT padshahi ka

    ye pesh-KHema hai zalim teri tabahi ka

    KHadang-e-ah ko roke raha hun furqat mein

    KHayal hai mujhe aflak ki tabahi ka

    umid kaise ho mahshar mein surKH-rui ki

    hamesha kaam kiya ho jo ru-siyahi ka

    salam tak nahin lete kalam to kaisa

    faqiri mein bhi tabaKHtur hai baadshahi ka

    shikast-o-fath ka zimma nahin dil-e-nadan

    laDe hazar mein ye kaam hai sipahi ka

    KHizab karte hain duniya se jab gae guzre

    shugun karte hain piri mein ru-siyahi ka

    na aasman ki inayat na mehrban wo shoKH

    na puchho haal gharibon ki be-panahi ka

    safed baalon pe kis waste KHizab lagaen

    gaya zamana jawani mein ru-siyahi ka

    KHataen ho gain madum haj se ai 'parwin'

    gawah KHud hai KHuda meri be-gunahi ka

    Source:

    Deewan-e-parveen (Pg. ebook-62 page-59)

    • Author: Parveen Umm-e-Mushtaq
      • Publisher: Azizi Press
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now