Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gharq na kar dikhla kar dil ko kan ka baala zulf ka halqa

Shah Naseer

gharq na kar dikhla kar dil ko kan ka baala zulf ka halqa

Shah Naseer

MORE BYShah Naseer

    ġharq na kar dikhlā kar dil ko kaan kā baalā zulf kā halqa

    bahr-e-husn ke haiñ ye bhañvar do kaan kā baalā zulf kā halqa

    hāla-e-mah pahuñche hai na us ko nai ḳhat-e-sāġhar us ko lage hai

    ā.īna tum le kar dekho kaan kā baalā zulf kā halqa

    āhū-e-dil aur tā.ir-e-jāñ ke haq meñ ye donoñ phande haiñ

    ham ko dikhā kar tum na chhupāo kaan kā baalā zulf kā halqa

    aaj sivā.e shāne ke yaañ kis kā muñh hai kaun hai aisā

    chhoḌe tumhāre chehre par jo kaan kā baalā zulf kā halqa

    donoñ tere 'āriz par din raat mile ye rahte haiñ

    ainak-e-mahr-o-māh na kyuuñ ho kaan kā baalā zulf kā halqa

    taish-zanī meñ ye aqrab hai kaalā hai vo kunDlī maare

    hazrat-e-dil baaz aao na chheḌo kaan kā baalā zulf kā halqa

    kis ko hisār-e-husn kahūñ maiñ kis ko ḳhat-e-parkār kahe dil

    muñh se ulaT burqa' ko dikhā do kaan kā baalā zulf kā halqa

    ye tire ruḳh ke bose leñ aur tarseñ mirī āñkheñ ai vaa.e

    dekh ke kyuuñ rashk aa.e na mujh ko kaan kā baalā zulf kā halqa

    aaj zuleḳhā gar yahāñ hotī dām-e-kamand-o-chāh meñ phañstī

    dekh mire yūsuf kā 'azīzo kaan kā baalā zulf kā halqa

    kyūñki 'nasīr' arbāb-e-suḳhan tahsīñ na kareñ sun kar ye ġhazal

    jabki tum is sūrat se bāñdho kaan kā baalā zulf kā halqa

    gharq na kar dikhla kar dil ko kan ka baala zulf ka halqa

    bahr-e-husn ke hain ye bhanwar do kan ka baala zulf ka halqa

    haala-e-mah pahunche hai na us ko nai KHat-e-saghar us ko lage hai

    aaina tum le kar dekho kan ka baala zulf ka halqa

    aahu-e-dil aur tair-e-jaan ke haq mein ye donon phande hain

    hum ko dikha kar tum na chhupao kan ka baala zulf ka halqa

    aaj siwae shane ke yan kis ka munh hai kaun hai aisa

    chhoDe tumhaare chehre par jo kan ka baala zulf ka halqa

    donon tere 'ariz par din raat mile ye rahte hain

    ainak-e-mahr-o-mah na kyun ho kan ka baala zulf ka halqa

    taish-zani mein ye aqrab hai kala hai wo kunDli mare

    hazrat-e-dil baz aao na chheDo kan ka baala zulf ka halqa

    kis ko hisar-e-husn kahun main kis ko KHat-e-parkar kahe dil

    munh se ulaT burqa' ko dikha do kan ka baala zulf ka halqa

    ye tere ruKH ke bose len aur tarsen meri aankhen ai wae

    dekh ke kyun rashk aae na mujh ko kan ka baala zulf ka halqa

    aaj zuleKHa gar yahan hoti dam-e-kamand-o-chah mein phansti

    dekh mere yusuf ka 'azizo kan ka baala zulf ka halqa

    kyunki 'nasir' arbab-e-suKHan tahsin na karen sun kar ye ghazal

    jabki tum is surat se bandho kan ka baala zulf ka halqa

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now