aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gaya ki sail-e-rawan ka bahaw aisa tha

Daniyal Tareer

gaya ki sail-e-rawan ka bahaw aisa tha

Daniyal Tareer

MORE BYDaniyal Tareer

    gayā ki sail-e-ravāñ bahāv aisā thā

    vo ek ḳhvāb jo kāġhaz naav aisā thā

    kisī ko bhī na thā āsān saañs lenā

    mirī zamīñ pe havā dabāv aisā thā

    lahū dhaar salāmat rahī na saañs taar

    mujhe jo kaaT gayā vo kaTāv aisā thā

    vo TimTimātā to us ziyā bhī kam paḌtī

    kisī diye se lahū lagāv aisā thā

    vo ek thā jo mujhe chār-sū dikhā.ī diyā

    maiñ jañg haar gayā huuñ ki daav aisā thā

    mujhe to laaj ke ujle libās meñ vo badan

    gulāb barf meñ jaise chhupāo aisā thā

    bane haiñ naag mire ban meñ peḌ jitne the

    lagī hai aag sabā subhāv aisā thā

    gaya ki sail-e-rawan ka bahaw aisa tha

    wo ek KHwab jo kaghaz ki naw aisa tha

    kisi ko bhi na tha aasan sans ka lena

    meri zamin pe hawa ka dabaw aisa tha

    lahu ki dhaar salamat rahi na sans ka tar

    mujhe jo kaT gaya wo kaTaw aisa tha

    wo TimTimata to us ki ziya bhi kam paDti

    kisi diye se lahu ka lagaw aisa tha

    wo ek tha jo mujhe chaar-su dikhai diya

    main jang haar gaya hun ki daw aisa tha

    mujhe to laj ke ujle libas mein wo badan

    gulab barf mein jaise chhupao aisa tha

    bane hain nag mere ban mein peD jitne the

    lagi hai aag saba ka subhaw aisa tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now