Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghazab tha un nigahon se nigahen chaar ho jaana

Raft Bahraichi

ghazab tha un nigahon se nigahen chaar ho jaana

Raft Bahraichi

MORE BYRaft Bahraichi

    ġhazab thā un nigāhoñ se nigāheñ chaar ho jaanā

    vo un toḌ kar dil ko jigar ke paar ho jaanā

    nazākat de agar mashq-e-ḳhirām-e-nāz ruḳhsat

    sū-e-gor-e-garībāñ bhī kabhī ai yaar ho jaanā

    dil-e-dīvāna se kyā bahste ho hosh meñ aao

    ye kyā hai ik zarā chheḌ par bezār ho jaanā

    vo uTh jaanā kisī 'īsā-nafas merī bālīñ se

    vo achchhā hote hote phir mirā bīmār ho jaanā

    tarīq-e-‘ishq meñ ai ḳhizr hai ik imtihāñ ye bhī

    ajal sahl honā zindagī dushvār ho jaanā

    zarā kuchh hosh meñ aa leñ to ham muusā se ye pūchheñ

    ki kaisā hai kisī tālib-e-dīdār ho jaanā

    hazāroñ paḌ ga.e raḳhne dil-o-jāñ meñ mirī 'rāfat'

    vo haT kar un rauzan se pas-e-dīvār jaanā

    ghazab tha un nigahon se nigahen chaar ho jaana

    wo un ka toD kar dil ko jigar ke par ho jaana

    nazakat de agar mashq-e-KHiram-e-naz ki ruKHsat

    su-e-gor-e-gariban bhi kabhi ai yar ho jaana

    dil-e-diwana se kya bahste ho hosh mein aao

    ye kya hai ek zara si chheD par bezar ho jaana

    wo uTh jaana kisi 'isa-nafas ka meri baalin se

    wo achchha hote hote phir mera bimar ho jaana

    tariq-e-‘ishq mein ai KHizr hai ek imtihan ye bhi

    ajal ka sahl hona zindagi dushwar ho jaana

    zara kuchh hosh mein aa len to hum musa se ye puchhen

    ki kaisa hai kisi ka talib-e-didar ho jaana

    hazaron paD gae raKHne dil-o-jaan mein meri 'rafat'

    wo haT kar un ka rauzan se pas-e-diwar jaana

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now